parchhaiyan
1
ye shaam ik ā.īna-e-nīl-gūñ ye nam ye mahak
ye manzaroñ kī jhalak khet baaġh dariyā gaañv
vo kuchh sulagte hue kuchh sulagne vaale alaav
siyāhiyoñ kā dabe-pāñv āsmāñ se nuzūl
laToñ ko khol de jis tarah shaam kī devī
purāne vaqt ke bargad kī ye udaas jaTā.eñ
qarīb o duur ye go dhuul kī ubhartī ghaTā.eñ
ye kā.enāt kā Thahrāo ye athāh sukūt
ye nīm-tīrah fazā roz-e-garm kā tābūt
dhuāñ dhuāñ sī zamīñ hai ghulā ghulā sā falak
2
ye chāñdnī ye havā.eñ ye shāḳh-e-gul kī lachak
ye daur-e-bāda ye sāz-e-ḳhamosh fitrat ke
sunā.ī dene lagī jagmagāte sīnoñ meñ
diloñ ke nāzuk o shaffāf ābgīnoñ meñ
tire ḳhayāl kī paḌtī huī kiran kī khanak
3
ye raat chhantī havāoñ kī soñdhī soñdhī mahak
ye khet kartī huī chāñdnī kī narm damak
sugandh raat kī raanī kī jab machaltī hai
fazā meñ rūh-e-tarab karvaTeñ badaltī hai
ye ruup sar se qadam tak hasīn jaise gunāh
ye ārizoñ kī damak ye fusūn-e-chashm-e-siyāh
ye dhaj na de jo ajantā kī san.atoñ ko panāh
ye siina paḌ hī ga.ī dev lok kī bhī nigāh
ye sar-zamīn se ākāsh kī parastish-gāh
utārte haiñ tirī aartī sitāra o maah
sajal badan kī bayāñ kis tarah ho kaifiyyat
sarasvatī ke bajāte hue sitār kī gat
jamāl-e-yār tire gulsitāñ kī rah rah ke
jabīn-e-nāz tirī kahkashāñ kī rah rah ke
diloñ meñ ā.īna-dar-ā.īna suhānī jhalak
4
ye chhab ye ruup ye joban ye saj ye dhaj ye lahak
chamakte tāroñ kī kirnoñ kī narm narm phuvār
ye rasmasāte badan kā uThān aur ye ubhār
fazā ke ā.īna meñ jaise lahlahā.e bahār
ye be-qarār ye be-iḳhtiyār josh-e-numūd
ki jaise nuur kā favvāra ho shafaq-ālūd
ye jalve paikar-e-shab-tāb ke ye bazm-e-shohūd
ye mastiyāñ ki mai-e-sāf-o-durd sab be-būd
ḳhajil ho lāl-e-yaman uzv uzv kī vo Dalak
5
bas ik sitāra-e-shiñgaraf kī jabīñ pe jhamak
vo chaal jis se labālab gulābiyāñ chhalkeñ
sakūñ-numā ḳham-e-abru ye adh-khulīñ palkeñ
har ik nigāh se aiman kī bijliyāñ lapkeñ
ye aañkh jis meñ ka.ī āsmāñ dikhā.ī paḌeñ
uḌā deñ hosh vo kānoñ kī saada saada laveñ
ghaTā.eñ vajd meñ aa.eñ ye gesuoñ kī laTak
6
ye kaif-o-rañg-e-nazāra ye bijliyoñ kī lapak
ki jaise krishn se rādhā kī aañkh ishāre kare
vo shoḳh ishāre ki rabbāniyat bhī jaa.e jhapak
jamāl sar se qadam tak tamām sho.ala hai
sukūn jumbish o ram tak tamām sho.ala hai
magar vo sho.ala ki āñkhoñ meñ Daal de ThanDak
7
ye raat niiñd meñ Duube hue se haiñ dīpak
fazā meñ bujh ga.e uḌ uḌ ke jugnuoñ ke sharār
kuchh aur tāroñ kī āñkhoñ kā baḌh chalā hai ḳhumār
fasurda chhiTkī huī chāñdnī kā dhundlā ġhubār
ye bhīgī bhīgī ūdāhaT ye bhīgā bhīgā nuur
ki jaise chashma-e-zulmāt meñ jale kāfūr
ye Dhaltī raat sitāroñ ke qalb kā ye gudāz
ḳhunuk fazā meñ tirā shabnamī tabassum-e-nāz
jhalak jamāl kī ta.abīr ḳhvāb ā.īna-sāz
jahāñ se jism ko dekheñ tamām nāz-o-niyāz
jahāñ nigāh Thahar jaa.e rāz-andar-rāz
sukūt-e-nīm-shabī lahlahe badan kā nikhār
ki jaise niiñd kī vaadī meñ jāgtā sansār
hai bazm-e-māh ki parchhā.iyoñ kī bastī hai
fazā kī oT se vo ḳhāmushī barastī hai
ki buuñd buuñd se paidā ho gosh o dil meñ khanak
8
kisī ḳhayāl meñ hai ġharq chāñdnī kī chamak
havā.eñ niiñd ke khetoñ se jaise aatī hoñ
hayāt o maut meñ sargoshiyāñ sī hotī haiñ
karoḌoñ saal ke jaage sitāre nam-dīda
siyāh gesuoñ ke saañp nīm-ḳhvābīda
ye pichhlī raat ye rag rag meñ narm narm kasak
1
ye sham ek aaina-e-nil-gun ye nam ye mahak
ye manzaron ki jhalak khet bagh dariya ganw
wo kuchh sulagte hue kuchh sulagne wale alaw
siyahiyon ka dabe-panw aasman se nuzul
laTon ko khol de jis tarah sham ki dewi
purane waqt ke bargad ki ye udas jaTaen
qarib o dur ye go dhul ki ubharti ghaTaen
ye kaenat ka Thahrao ye athah sukut
ye nim-tirah faza roz-e-garm ka tabut
dhuan dhuan si zamin hai ghula ghula sa falak
2
ye chandni ye hawaen ye shaKH-e-gul ki lachak
ye daur-e-baada ye saz-e-KHamosh fitrat ke
sunai dene lagi jagmagate sinon mein
dilon ke nazuk o shaffaf aabginon mein
tere KHayal ki paDti hui kiran ki khanak
3
ye raat chhanti hawaon ki sondhi sondhi mahak
ye khet karti hui chandni ki narm damak
sugandh raat ki rani ki jab machalti hai
faza mein ruh-e-tarab karwaTen badalti hai
ye rup sar se qadam tak hasin jaise gunah
ye aarizon ki damak ye fusun-e-chashm-e-siyah
ye dhaj na de jo ajanta ki sanaton ko panah
ye sina paD hi gai dew lok ki bhi nigah
ye sar-zamin se aakash ki parastish-gah
utarte hain teri aarti sitara o mah
sajal badan ki bayan kis tarah ho kaifiyyat
saraswati ke bajate hue sitar ki gat
jamal-e-yar tere gulsitan ki rah rah ke
jabin-e-naz teri kahkashan ki rah rah ke
dilon mein aaina-dar-aina suhani jhalak
4
ye chhab ye rup ye joban ye saj ye dhaj ye lahak
chamakte taron ki kirnon ki narm narm phuwar
ye rasmasate badan ka uThan aur ye ubhaar
faza ke aaina mein jaise lahlahae bahaar
ye be-qarar ye be-iKHtiyar josh-e-numud
ki jaise nur ka fawwara ho shafaq-alud
ye jalwe paikar-e-shab-tab ke ye bazm-e-shohud
ye mastiyan ki mai-e-saf-o-durd sab be-bud
KHajil ho lal-e-yaman uzw uzw ki wo Dalak
5
bas ek sitara-e-shingaraf ki jabin pe jhamak
wo chaal jis se labaalab gulabiyan chhalken
sakun-numa KHam-e-abru ye adh-khulin palken
har ek nigah se aiman ki bijliyan lapken
ye aankh jis mein kai aasman dikhai paDen
uDa den hosh wo kanon ki sada sada lawen
ghaTaen wajd mein aaen ye gesuon ki laTak
6
ye kaif-o-rang-e-nazara ye bijliyon ki lapak
ki jaise krishn se radha ki aankh ishaare kare
wo shoKH ishaare ki rabbaniyat bhi jae jhapak
jamal sar se qadam tak tamam shoala hai
sukun jumbish o ram tak tamam shoala hai
magar wo shoala ki aankhon mein Dal de ThanDak
7
ye raat nind mein Dube hue se hain dipak
faza mein bujh gae uD uD ke jugnuon ke sharar
kuchh aur taron ki aankhon ka baDh chala hai KHumar
fasurda chhiTki hui chandni ka dhundla ghubar
ye bhigi bhigi udahaT ye bhiga bhiga nur
ki jaise chashma-e-zulmat mein jale kafur
ye Dhalti raat sitaron ke qalb ka ye gudaz
KHunuk faza mein tera shabnami tabassum-e-naz
jhalak jamal ki tabir KHwab aaina-saz
jahan se jism ko dekhen tamam naz-o-niyaz
jahan nigah Thahar jae raaz-andar-raaz
sukut-e-nim-shabi lahlahe badan ka nikhaar
ki jaise nind ki wadi mein jagta sansar
hai bazm-e-mah ki parchhaiyon ki basti hai
faza ki oT se wo KHamushi barasti hai
ki bund bund se paida ho gosh o dil mein khanak
8
kisi KHayal mein hai gharq chandni ki chamak
hawaen nind ke kheton se jaise aati hon
hayat o maut mein sargoshiyan si hoti hain
karoDon sal ke jage sitare nam-dida
siyah gesuon ke sanp nim-KHwabida
ye pichhli raat ye rag rag mein narm narm kasak
- Book : Gul-e-Naghma (Pg. 133)
- Author : Firaq Gorakhpuri
- Publication : Maktaba Farogh-e-urdu Matia Mahal Jama Masjid Delhi (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.