parchhaiyan
kaash ik shab koī chāñd aisā uge
ādatan tū mujhe yuuñ to jis meñ dikhe
haañ agar aks ho vo tirā āḳhrī
dard kā ho ye manzar mirā āḳhrī
us sahar meñ khule aañkh merī kī jab
yuuñ lage jaise tū hai nahīñ thā nahīñ
vo jo lamhe guzar kar gayā thā kabhī
yuuñ lage vo kabhī jaise guzrā nahīñ
par ḳhayālāt to ''phir ḳhayālāt haiñ
kuchh nahīñ dil se umda ye jazbāt haiñ
phir ye mumkin kahāñ gar koī ho milā
saath sāñseñ bharī saath royā hañsā
vo jo hissa ho ik zindagī kā mirī
ho sabab ġham kā yā ho ḳhushī kā mirī
jo huā hai vo kaise huā hī nahīñ
kaise sochūñ vo dil meñ rahā hī nahīñ
vo to thā ab bhī hai aur rahegā sadā
vo gayā thā hī kab jo ki aa.e bhalā
apne maazī meñ jhāñkūñ na pā.ūñ tujhe
ab ye mumkin kahāñ bhuul jā.ūñ tujhe
ek pal thā abhī tū yahīñ thā yahīñ
aur pal ye hai ik tū kahīñ bhī nahīñ
gar nahīñ tū to yādeñ tirī kyuuñ raheñ
zehn-o-dil par ye bāteñ tirī kyuuñ raheñ
kiyā kabhī zindagī aisā hogā nahīñ
vo jo ab hai nahīñ maan luuñ thā nahīñ
aisā hogā kabhī ho tasallī kabhī
yahī honā thā likkhā huā bhī yahī
jis tarah ek pal meñ judā vo huā
maiñ bhī kah duuñ ki ab jo huā so huā
par yahī ik hunar mujh ko aayā nahīñ
yaad kar ke ye dil bhuul paayā nahīñ
laḳht-e-dil kī tarah mujh meñ rahtā hai vo
qatra-e-ḳhūn sā mujh meñ bahtā hai vo
vo koī shai kahāñ maiñ jase chhoḌ duuñ
rābta vo kahāñ maiñ jise toḌ duuñ
mashq hai rañg hai lutf hai ḳhaas hai
yaad hai yaad to ek ehsās hai
yaad maiñ ab kahāñ chhoḌ aa.uuñ tujhe
ab ye mumkin kahāñ bhuul jā.ūñ tujhe
kash ek shab koi chand aisa uge
aadatan tu mujhe yun to jis mein dikhe
han agar aks ho wo tera aaKHri
dard ka ho ye manzar mera aaKHri
us sahar mein khule aankh meri ki jab
yun lage jaise tu hai nahin tha nahin
wo jo lamhe guzar kar gaya tha kabhi
yun lage wo kabhi jaise guzra nahin
par KHayalat to phir KHayalat hain
kuchh nahin dil se umda ye jazbaat hain
phir ye mumkin kahan gar koi ho mila
sath sansen bhari sath roya hansa
wo jo hissa ho ek zindagi ka meri
ho sabab gham ka ya ho KHushi ka meri
jo hua hai wo kaise hua hi nahin
kaise sochun wo dil mein raha hi nahin
wo to tha ab bhi hai aur rahega sada
wo gaya tha hi kab jo ki aae bhala
apne mazi mein jhankun na paun tujhe
ab ye mumkin kahan bhul jaun tujhe
ek pal tha abhi tu yahin tha yahin
aur pal ye hai ek tu kahin bhi nahin
gar nahin tu to yaaden teri kyun rahen
zehn-o-dil par ye baaten teri kyun rahen
kiya kabhi zindagi aisa hoga nahin
wo jo ab hai nahin man lun tha nahin
aisa hoga kabhi ho tasalli kabhi
yahi hona tha likkha hua bhi yahi
jis tarah ek pal mein juda wo hua
main bhi kah dun ki ab jo hua so hua
par yahi ek hunar mujh ko aaya nahin
yaad kar ke ye dil bhul paya nahin
laKHt-e-dil ki tarah mujh mein rahta hai wo
qatra-e-KHun sa mujh mein bahta hai wo
wo koi shai kahan main jase chhoD dun
rabta wo kahan main jise toD dun
mashq hai rang hai lutf hai KHas hai
yaad hai yaad to ek ehsas hai
yaad main ab kahan chhoD aaun tujhe
ab ye mumkin kahan bhul jaun tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.