parchhaiyan
kyuuñ na ab tum se tasavvur meñ karūñ baat suno tum se ye kahnā hai mujhe
tum kahogī nahīñ maiñ vaj.h-e-suḳhan jaan ga.ī
yaad se terī hī ma.amūr haiñ din-rāt ye kahnā hai mujhe
tum kahogī ki maiñ hastī ko kafan maan ga.ī
rāh-e-ulfat meñ kabhī hogā tirā saath ye kahnā hai mujhe
tum kahogī maiñ zamāne kā chalan jaan ga.ī
kaun badlegā ye hālāt ye kahnā hai mujhe
tum kahogī maiñ unheñ dār-o-rasan maan ga.ī
zindagī ye hai to marnā bhī hai bārāt ye kahnā hai mujhe
tum kahogī ki ye maiñ soḳhta-tan jaan ga.ī
2
maiñ zamāne ke huuñ aa.iin kā pāband ye kahnā hai mujhe
tum kaho dekho ki ye marg-e-abad hai ki nahīñ
haañ maiñ is pe huuñ razā-mand ye kahnā hai mujhe
tum kaho jaur-e-zamāñ kī koī had hai ki nahīñ
mujh pe har raah huī band ye kahnā hai mujhe
tum kaho zinda giraftār-e-lahad hai ki nahīñ
haañ giraftār huuñ do chand ye kahnā hai mujhe
tum kaho ne.amat-e-hastī se ye kad hai ki nahīñ
3
tum merī ziist ke vīrāne meñ partav ho ḳhayābānoñ kā
maiñ to sarsar huuñ ki vīrānoñ se kyā mel ḳhayābanoñ ke
tum to ho naġhma-e-shab-tāb mare ujḌe shabistānoñ kā
maiñ to shevan huuñ ki shevan haiñ nishāñ aise shabistānoñ ke
tum nayā ruup rachāo nayā siñgār ho mere na.e armānoñ kā
maiñ to huuñ ḳhūn-e-tamannā ki sadā ḳhuun huā karte haiñ armānoñ ke
tum to amrit ho malāloñ ke alaav meñ jalī jānoñ kā
maiñ nahīñ raakh bhī kyā aur nishāñ hoñge malāloñ se jalī jānoñ ke
kyun na ab tum se tasawwur mein karun baat suno tum se ye kahna hai mujhe
tum kahogi nahin main wajh-e-suKHan jaan gai
yaad se teri hi mamur hain din-raat ye kahna hai mujhe
tum kahogi ki main hasti ko kafan man gai
rah-e-ulfat mein kabhi hoga tera sath ye kahna hai mujhe
tum kahogi main zamane ka chalan jaan gai
kaun badlega ye haalat ye kahna hai mujhe
tum kahogi main unhen dar-o-rasan man gai
zindagi ye hai to marna bhi hai baraat ye kahna hai mujhe
tum kahogi ki ye main soKHta-tan jaan gai
2
main zamane ke hun aain ka paband ye kahna hai mujhe
tum kaho dekho ki ye marg-e-abad hai ki nahin
han main is pe hun raza-mand ye kahna hai mujhe
tum kaho jaur-e-zaman ki koi had hai ki nahin
mujh pe har rah hui band ye kahna hai mujhe
tum kaho zinda giraftar-e-lahad hai ki nahin
han giraftar hun do chand ye kahna hai mujhe
tum kaho neamat-e-hasti se ye kad hai ki nahin
3
tum meri zist ke virane mein partaw ho KHayabanon ka
main to sarsar hun ki viranon se kya mel KHayabanon ke
tum to ho naghma-e-shab-tab mare ujDe shabistanon ka
main to shewan hun ki shewan hain nishan aise shabistanon ke
tum naya rup rachao naya singar ho mere nae armanon ka
main to hun KHun-e-tamanna ki sada KHun hua karte hain armanon ke
tum to amrit ho malalon ke alaw mein jali jaanon ka
main nahin rakh bhi kya aur nishan honge malalon se jali jaanon ke
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-456 p-444)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.