parchhaiyan pakaDne wale
diary ke ye saada varaq
aur qalam chhīn lo
ā.īnoñ kī dukānoñ meñ sab
apne chehre liye
ik barhana tabassum ke mohtāj haiñ
sard bāzār meñ
ek bhī chāhne vaalā aisā nahīñ
jo unheñ zindagī kā sabab baḳhsh de
dhund se jagmagāte hue shahr kī battiyāñ
sajda kartī huī kahkashāñ
ḳhūb-sūrat ḳhudāoñ kī phirtī huī Toliyāñ
aisā lagtā hai sab
ek muddat se parchhā.iyoñ ko pakaḌne meñ masrūf haiñ!!!
diary ke ye sada waraq
aur qalam chhin lo
aainon ki dukanon mein sab
apne chehre liye
ek barhana tabassum ke mohtaj hain
sard bazar mein
ek bhi chahne wala aisa nahin
jo unhen zindagi ka sabab baKHsh de
dhund se jagmagate hue shahr ki battiyan
sajda karti hui kahkashan
KHub-surat KHudaon ki phirti hui Toliyan
aisa lagta hai sab
ek muddat se parchhaiyon ko pakaDne mein masruf hain!!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.