parfum
tire parfum kī ḳhushbū
merī jānāñ
hamāre vasl par pahle
gale lagne se
mere favourite
sweater pe
mere saath aa.ī thī
ye tere pyaar kī
tan pe mire
pahlī nishānī thī
jise ab tak
hifāzat se
mirī saarī
mohabbat se
sajā ke maiñ ne rakkhā hai
ye ḳhushbū chhūT nā jaa.e
isī Dar se
dobāra
maiñ ne us sweater ko
pahnā hai
nā dhoyā hai
tere parfum ki KHushbu
meri jaanan
hamare wasl par pahle
gale lagne se
mere fawourite
sweater pe
mere sath aai thi
ye tere pyar ki
tan pe mere
pahli nishani thi
jise ab tak
hifazat se
meri sari
mohabbat se
saja ke main ne rakkha hai
ye KHushbu chhuT na jae
isi Dar se
dobara
main ne us sweater ko
pahna hai
na dhoya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.