parinde
parinda jo hoñToñ pe par taultā thā
use baaz rakhne kī ḳhātir ik aaseb thā mere dar pe
qad us kā falak nāptā thā
nigāheñ uThāo jo chehre kī jānib
to ghuTne se aTkīñ
mujhe us ne mohre kī sūrat uThāyā
aur ik swimming-pōl meñ lā ke Daalā
vo ye chāhtā thā ki paanī meñ ye aag bhaḌkāne vaalī hasīñ machhliyāñ
mujh ko rañgoñ meñ apne jakaḌ leñ
mire ḳhuuñ meñ ye ātish rañg bhar kar
mujhe bhasm kar deñ
magar jab na ho paayā aisā
to us ne mujhe ik pahāḌī guphā meñ utārā
jahāñ sīm-o-zar kā ik ambār sā thā
us ambār meñ khul jā sim-sim kī yaad aa.ī
chālīs choroñ kī dahshat dar aa.ī
mujhe us ne qāsim kī sūrat meñ dekhā thā
us ko yaqīñ thā
chakā-chauñd zar kī mujhe dasht-e-nā-būd kī raah par Daal degī
magar jab na ho paayā aisā
to us ne mirī ik kaf-e-dasht par chāñd aur dūsrī pe
rakhā lā ke sūraj
aur ḳhud apnī Tāñgoñ se a aur v uñgliyoñ se banā kar
ajab tuntune se khaḌā thā
mire haath ne us kī v par ye chāñd aur sūraj uchhāle
chhanākā havā zor kā maiñ ne dekhā zamīñ par
ye chāñd aur sūraj shikasta the
aur hoñT ke mustaqar se
parinda fazāoñ ke āġhosh meñ tairtā thā
zamīñ āsmāñ ke qulābe milātā huā dev aaseb
qad meñ
mirī ūñchī gardan ke juute ke ham-sar huā thā
parinda jo honTon pe par taulta tha
use baz rakhne ki KHatir ek aaseb tha mere dar pe
qad us ka falak napta tha
nigahen uThao jo chehre ki jaanib
to ghuTne se aTkin
mujhe us ne mohre ki surat uThaya
aur ek swimming-pool mein la ke Dala
wo ye chahta tha ki pani mein ye aag bhaDkane wali hasin machhliyan
mujh ko rangon mein apne jakaD len
mere KHun mein ye aatish rang bhar kar
mujhe bhasm kar den
magar jab na ho paya aisa
to us ne mujhe ek pahaDi gupha mein utara
jahan sim-o-zar ka ek ambar sa tha
us ambar mein khul ja sim-sim ki yaad aai
chaalis choron ki dahshat dar aai
mujhe us ne qasim ki surat mein dekha tha
us ko yaqin tha
chaka-chaund zar ki mujhe dasht-e-na-bud ki rah par Dal degi
magar jab na ho paya aisa
to us ne meri ek kaf-e-dasht par chand aur dusri pe
rakha la ke suraj
aur KHud apni Tangon se a aur w ungliyon se bana kar
ajab tuntune se khaDa tha
mere hath ne us ki w par ye chand aur suraj uchhaale
chhanaka hawa zor ka main ne dekha zamin par
ye chand aur suraj shikasta the
aur honT ke mustaqar se
parinda fazaon ke aaghosh mein tairta tha
zamin aasman ke qulabe milata hua dew aaseb
qad mein
meri unchi gardan ke jute ke ham-sar hua tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 87)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.