parinde
daraḳhtoñ pe har dam chahakte parinde
lubhāte haiñ bachcho rañgīle parinde
haiñ dilkash vo rañgīn chiḌiyoñ kī Dāreñ
dikhātī haiñ pat-jhaḌ meñ bhī ye bahāreñ
jhapaTtī haiñ murdār par ḳhud hī chīleñ
suhānī haiñ bagloñ kī halchal sī jhīleñ
hai laqve se kartā kabūtar hifāzat
hai tītar se aatī ragoñ meñ harārat
zarūrat pe karte haiñ naql-e-makānī
ye aadat parindoñ kī hai ik purānī
ġhizā mil ke khāte haiñ kavve bhī dekho
sabaq ektā kā parindoñ se sīkho
tum is raaz ko aaj 'hāfiz' se jaano
parinde ġhizā bhī davā bhī haiñ bachcho
daraKHton pe har dam chahakte parinde
lubhate hain bachcho rangile parinde
hain dilkash wo rangin chiDiyon ki Daren
dikhati hain pat-jhaD mein bhi ye bahaaren
jhapaTti hain murdar par KHud hi chilen
suhani hain baglon ki halchal si jhilen
hai laqwe se karta kabutar hifazat
hai titar se aati ragon mein hararat
zarurat pe karte hain naql-e-makani
ye aadat parindon ki hai ek purani
ghiza mil ke khate hain kawwe bhi dekho
sabaq ekta ka parindon se sikho
tum is raaz ko aaj 'hafiz' se jaano
parinde ghiza bhi dawa bhi hain bachcho
- Book : Zamzame (Pg. 168)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnatki
- Publication : Fareed Book Depot (Pvt. Ltd) (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.