parinde
kyā kaheñ roz sub.h hote hī
ye musāfir kahāñ se aate haiñ
lauT kar roz shaam se pahle
kyā batā.eñ kahāñ ye jaate haiñ
chaar tinkoñ kī fikr meñ din-bhar
kyā ḳhabar kyoñ ye uḌte rahte haiñ
dukh safar kā har ek mausam meñ
kyā patā kis liye ye sahte haiñ
kaun jaane kisī bayābāñ meñ
in parindoñ ke ghar kahāñ hoñge
kis ko mā'lūm kin daraḳhtoñ par
in parindoñ ke āshiyāñ hoñge
kya kahen roz subh hote hi
ye musafir kahan se aate hain
lauT kar roz sham se pahle
kya bataen kahan ye jate hain
chaar tinkon ki fikr mein din-bhar
kya KHabar kyon ye uDte rahte hain
dukh safar ka har ek mausam mein
kya pata kis liye ye sahte hain
kaun jaane kisi bayaban mein
in parindon ke ghar kahan honge
kis ko ma'lum kin daraKHton par
in parindon ke aashiyan honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.