parinde lauT aae
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
huā ik baar yuuñ
bastī ke bāġhoñ meñ
kisī bhī peḌ kī Tahnī pe koī phal nahīñ aayā
hare pattoñ kā mausam lauT kar vāpas nahīñ aayā
parinde ro diye
aur duur ke bāġhoñ meñ hijrat kar ga.e saare
bahut āzurda ho kar bāġhbānoñ ne
duā.eñ kiiñ
munājāteñ paḌhīñ
apne gunāhoñ kī
ḳhudā-e-lam-yazal se ma.āfiyāñ māñgīñ
aur kyāriyāñ kāTīñ
hare pattoñ kā mausam lauT kar vāpas nahīñ aayā
parinde lauT aa.e the
na.ī bastī ke bāġhoñ se
hare pattoñ kī Tahnī toḌ laa.e the
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
hua ek bar yun
basti ke baghon mein
kisi bhi peD ki Tahni pe koi phal nahin aaya
hare patton ka mausam lauT kar wapas nahin aaya
parinde ro diye
aur dur ke baghon mein hijrat kar gae sare
bahut aazurda ho kar baghbanon ne
duaen kin
munajaten paDhin
apne gunahon ki
KHuda-e-lam-yazal se maafiyan mangin
aur kyariyan kaTin
hare patton ka mausam lauT kar wapas nahin aaya
parinde lauT aae the
nai basti ke baghon se
hare patton ki Tahni toD lae the
- Book : purani baat hai (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.