parindon ki duniya
ham apne diloñ kā tajassus miTā.eñ
parindoñ kī duniyā chalo dekh aa.eñ
ye chhoTe baḌe pyāre pyāre parinde
dikhāte haiñ kaise nazāre parinde
uḌeñ āsmānoñ meñ din raat ham bhī
yahī de rahe haiñ ishāre parinde
yuuñ duurī zamīñ se falak kī miTā.eñ
parindoñ kī duniyā chalo dekh aa.eñ
hameñ dekhnā hai vo rahte haiñ kaise
koī baat dil kī vo kahte haiñ kaise
jo bīmār paḌte haiñ jab bhī kabhī vo
ġham-o-dard us kā vo sahte haiñ kaise
agar ho sake un ke ham kaam aa.eñ
parindoñ kī duniyā chalo dekh aa.eñ
vo ik saath uḌnā vo mil jul ke rahnā
vo peḌoñ pe un kā phudaknā chahaknā
na dhan kī tamanna na daulat kī ḳhvāhish
na aapas meñ un kā kabhī bhī ulajhnā
vahāñ se yahī ḳhūbiyāñ DhūñD laa.eñ
parindoñ kī duniyā chalo dekh aa.eñ
zabāñ par na gaalī na shikva gila hai
ye andāz un kā bhī kitnā bhalā hai
ḳhudā kī baḌā.ī hai hoñToñ pe un ke
azal se abhī tak yahī silsila hai
suneñ aur naġhma ye ham sab bhī gaa.eñ
parindoñ kī duniyā chalo dekh aa.eñ
ḳhudāyā hameñ bhī ye ḳhūbī 'atā kar
raheñ ham bhī dil se kudūrat miTā kar
hameñ bhī kisī se na buġhz-o-hasad ho
in amrāz kī tū hamāre davā kar
tirī ne'matoñ ko na hargiz bhulā.eñ
parindoñ kī duniyā chalo dekh aa.eñ
hum apne dilon ka tajassus miTaen
parindon ki duniya chalo dekh aaen
ye chhoTe baDe pyare pyare parinde
dikhate hain kaise nazare parinde
uDen aasmanon mein din raat hum bhi
yahi de rahe hain ishaare parinde
yun duri zamin se falak ki miTaen
parindon ki duniya chalo dekh aaen
hamein dekhna hai wo rahte hain kaise
koi baat dil ki wo kahte hain kaise
jo bimar paDte hain jab bhi kabhi wo
gham-o-dard us ka wo sahte hain kaise
agar ho sake un ke hum kaam aaen
parindon ki duniya chalo dekh aaen
wo ek sath uDna wo mil jul ke rahna
wo peDon pe un ka phudakna chahakna
na dhan ki tamanna na daulat ki KHwahish
na aapas mein un ka kabhi bhi ulajhna
wahan se yahi KHubiyan DhunD laen
parindon ki duniya chalo dekh aaen
zaban par na gali na shikwa gila hai
ye andaz un ka bhi kitna bhala hai
KHuda ki baDai hai honTon pe un ke
azal se abhi tak yahi silsila hai
sunen aur naghma ye hum sab bhi gaen
parindon ki duniya chalo dekh aaen
KHudaya hamein bhi ye KHubi 'ata kar
rahen hum bhi dil se kudurat miTa kar
hamein bhi kisi se na bughz-o-hasad ho
in amraaz ki tu hamare dawa kar
teri ne'maton ko na hargiz bhulaen
parindon ki duniya chalo dekh aaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.