paron mein sham Dhalti hai
kahāñ jaanā thā mujh ko
kis nagar kī ḳhaak bāloñ meñ sajānā thī
mujhe kin Tahniyoñ se dhuup chunñā thī
kahāñ ḳhema lagānā thā
mirī miTTī rah-e-sayyārgāñ kī ham-qadam niklī
mirī palkoñ pe taare jhilmilāte haiñ
badan meñ aag jaltī hai
magar paañv meñ ḳhūñ-āshām raste laḌkhaḌāte haiñ
ye kyā shīrāza-bandī hai
ye merī be-parī kis kunj se ho kar baham niklī
nazar meñ din nikaltā hai
paroñ meñ shaam Dhaltī hai
magar maiñ to lahū kī munjamid sil huuñ
badan kī kisht-e-vīrāñ meñ
ye kis kī uñgliyoñ ne umr bhar mujh ko kuredā hai
kahāñ shiryān meñ chaltā huā ye qāfila Thahrā
ki maiñ us haath kī rekhāoñ meñ rañg-e-hinā Thahrā
kahāñ jaanā thā mujh ko
kis jagah ḳhema lagānā thā
kahan jaana tha mujh ko
kis nagar ki KHak baalon mein sajaana thi
mujhe kin Tahniyon se dhup chunna thi
kahan KHema lagana tha
meri miTTi rah-e-sayyargan ki ham-qadam nikli
meri palkon pe tare jhilmilate hain
badan mein aag jalti hai
magar panw mein KHun-asham raste laDkhaDate hain
ye kya shiraaza-bandi hai
ye meri be-pari kis kunj se ho kar baham nikli
nazar mein din nikalta hai
paron mein sham Dhalti hai
magar main to lahu ki munjamid sil hun
badan ki kisht-e-viran mein
ye kis ki ungliyon ne umr bhar mujh ko kureda hai
kahan shiryan mein chalta hua ye qafila Thahra
ki main us hath ki rekhaon mein rang-e-hina Thahra
kahan jaana tha mujh ko
kis jagah KHema lagana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.