Dasna station ka musafir
kaun sā station hai?
Dāsna hai sāhib-jī
aap ko utarnā hai?
''jī nahīñ, nahīñ,'' lekin
Dāsna to thā hī vo
mere saath 'qīsar' thī
ye baḌī baḌī āñkheñ
ik talāsh meñ khoī
raat bhar nahīñ soī
jab maiñ us ko pahuñchāne
is ujaaḌ bastī meñ
saath le ke aayā thā
maiñ ne un se phir pūchhā
aap mustaqil shāyad
Dāsna meñ rahte haiñ?
''jī yahāñ pe kuchh merī
suut kī dukāneñ haiñ
kuchh ta.ām-ḳhāne haiñ''
maiñ sunā kiyā baiThā
boltā rahā vo shaḳhs
''kuchh zamīn-dārī hai
mere baap daadā ne
kuchh makān chhoḌe the
un ko bech kar maiñ ne
kārobār kholā hai
is haqīr bastī meñ
kaun aa ke rahtā thā
lekin ab yahī bastī
bamba.ī hai dillī hai
qīmateñ zamīnoñ kī
itnī baḌh ga.iiñ sāhib
ik zamīn hī kyā hai
khāne piine kī chīzeñ
aam jiine kī chīzeñ
bhaao das-gune haiñ ab''
boltā rahā vo shaḳhs
''is qadar girānī hai
aag lag ga.ī jaise
āsmān had hai bas''
maiñ ne chauñk kar pūchhā
āsmāñ mahl thā ik
sayyadoñ kī bastī meñ
āsmāñ nahīñ sāhib
ab mahl kahāñ hogā?
hañs paḌā ye kah kar vo
mere zehn meñ us kī
baat pai-ba-pai gūñjī
''ab mahl kahāñ hogā
is dayār meñ shāyad
'qaisar' ab nahīñ rahtī
vo baḌī baḌī āñkheñ
ab na dekh pā.ūñgā
mulk kā ye baTvārā
le gayā kahāñ us ko
devḌhī kā sannāTā
aur hamārī sargoshī
''mujh se kitne chhoTe ho''
maiñ ne kuchh kahā thā phir
us ne kuchh kahā thā phir
hai raqam kahāñ vo sab
dard kī girāñ-jānī
merī shola-afshānī
us kī jalva-sāmānī
hai raqam kahāñ vo ab
karb-e-zīst sab merā
guftugū kā Dhab merā
us kā haath hāthoñ meñ
le ke jab maiñ kahtā thā
ab chuḌāo to jānūñ
rasm-e-bevafā.ī ko
aaj mo'tabar mānūñ
us ko le ke bāhoñ meñ
jhuk ke us ke chehre par
bheñch kar kahā thā ye
bolo kaise niklogī
merī dastaras se tum
mere is qafas se tum
bhūre bādaloñ kā dal
duur uḌtā jaatā hai
peḌ par kahīñ baiThā
ik parind gaatā hai
''chil-chil'' ik gilahrī kī
kaan meñ khaTaktī hai
rail chalne lagtī hai
raah ke daraḳhtoñ kī
chhāñv Dhalne lagtī hai
''mujh se kitne chhoTe ho''
aur mirī girāñ-goshī
devḌhī kā sannāTā
aur hamārī sargoshī
hai raqam kahāñ vo sab?
duur us parinde ne
apnā giit dohrāyā
''aaj ham ne apnā dil
ḳhuuñ kiyā huā dekhā
gum kiyā huā pāyā''
kaun sa station hai?
Dasna hai sahib-ji
aap ko utarna hai?
ji nahin, nahin, lekin
Dasna to tha hi wo
mere sath 'qisar' thi
ye baDi baDi aankhen
ek talash mein khoi
raat bhar nahin soi
jab main us ko pahunchane
is ujaD basti mein
sath le ke aaya tha
main ne un se phir puchha
aap mustaqil shayad
Dasna mein rahte hain?
ji yahan pe kuchh meri
sut ki dukanen hain
kuchh taam-KHane hain
main suna kiya baiTha
bolta raha wo shaKHs
kuchh zamin-dari hai
mere bap dada ne
kuchh makan chhoDe the
un ko bech kar main ne
karobar khola hai
is haqir basti mein
kaun aa ke rahta tha
lekin ab yahi basti
bambai hai dilli hai
qimaten zaminon ki
itni baDh gain sahib
ek zamin hi kya hai
khane pine ki chizen
aam jine ki chizen
bhao das-gune hain ab
bolta raha wo shaKHs
is qadar girani hai
aag lag gai jaise
aasman had hai bas
main ne chaunk kar puchha
aasman mahl tha ek
sayyadon ki basti mein
aasman nahin sahib
ab mahl kahan hoga?
hans paDa ye kah kar wo
mere zehn mein us ki
baat pai-ba-pai gunji
ab mahl kahan hoga
is dayar mein shayad
'qaisar' ab nahin rahti
wo baDi baDi aankhen
ab na dekh paunga
mulk ka ye baTwara
le gaya kahan us ko
dewDhi ka sannaTa
aur hamari sargoshi
mujh se kitne chhoTe ho
main ne kuchh kaha tha phir
us ne kuchh kaha tha phir
hai raqam kahan wo sab
dard ki giran-jaani
meri shola-afshani
us ki jalwa-samani
hai raqam kahan wo ab
karb-e-zist sab mera
guftugu ka Dhab mera
us ka hath hathon mein
le ke jab main kahta tha
ab chuDao to jaanun
rasm-e-bewafai ko
aaj mo'tabar manun
us ko le ke bahon mein
jhuk ke us ke chehre par
bhench kar kaha tha ye
bolo kaise niklogi
meri dastaras se tum
mere is qafas se tum
bhure baadalon ka dal
dur uDta jata hai
peD par kahin baiTha
ek parind gata hai
chil-chil ek gilahri ki
kan mein khaTakti hai
rail chalne lagti hai
rah ke daraKHton ki
chhanw Dhalne lagti hai
mujh se kitne chhoTe ho
aur meri giran-goshi
dewDhi ka sannaTa
aur hamari sargoshi
hai raqam kahan wo sab?
dur us parinde ne
apna git dohraya
aaj hum ne apna dil
KHun kiya hua dekha
gum kiya hua paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.