parwaz
ek pal
had-e-nigāh
chiknī kaalī saḌak
daa.eñ
āsmāñ se bāteñ kartīñ imārateñ
baa.eñ
zamīn kī qadam-bosī kartī jhoñpaḌiyāñ
uupar
nīlgūñ be-karāñ āsmāñ
aur is par
giddhoñ kī bārāt
mutajassis nigāheñ
chāroñ jānib dekhtīñ
māyūsī dāman pakaḌtī
phir
udaas chashm-e-hairāñ
ummīd kī kiran thāme
chāroñ jānib bhaTkīñ
magar
ek bhī
kabūtar nahīñ dikhā
hazāroñ savālāt
havā meñ lahrāne lage
kyā
kabūtar parvāz bhuul ga.e
yā
ek bhī kabūtar nahīñ rahā
yā
giddhoñ ne
unheñ noch khāyā
ek pal
had-e-nigah
chikni kali saDak
daen
aasman se baaten kartin imaraten
baen
zamin ki qadam-bosi karti jhonpaDiyan
upar
nilgun be-karan aasman
aur is par
giddhon ki baraat
mutajassis nigahen
chaaron jaanib dekhtin
mayusi daman pakaDti
phir
udas chashm-e-hairan
ummid ki kiran thame
chaaron jaanib bhaTkin
magar
ek bhi
kabutar nahin dikha
hazaron sawalat
hawa mein lahrane lage
kya
kabutar parwaz bhul gae
ya
ek bhi kabutar nahin raha
ya
giddhon ne
unhen noch khaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.