parwaz
tum ne kahā
āsmān par ik zarā patthar to uThā kar dekho yaaro
ye hausla aur himmat kī nasīhat
uThā kar to dekhā thā ham ne bhī yaaro
batā.ūñ tumheñ kyā huā
ye patthar to mujh par hī aa girā
choT lagī
kahāñ kahāñ lagī
kis tarah lagī
maiñ to lahūluhān ho ga.ī huuñ
aur be-jān bhī ho ga.ī huuñ
aur ab ik merī bhī suno
har mashvare par amal karne se pahle
apne kamzor bāzuoñ ke saath
zamīn kī saḳhtī aur
āsmāñ kī duurī
bhī to dekho yaaro
tum ne kaha
aasman par ek zara patthar to uTha kar dekho yaro
ye hausla aur himmat ki nasihat
uTha kar to dekha tha hum ne bhi yaro
bataun tumhein kya hua
ye patthar to mujh par hi aa gira
choT lagi
kahan kahan lagi
kis tarah lagi
main to lahuluhan ho gai hun
aur be-jaan bhi ho gai hun
aur ab ek meri bhi suno
har mashware par amal karne se pahle
apne kamzor bazuon ke sath
zamin ki saKHti aur
aasman ki duri
bhi to dekho yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.