parwin-shakir
bahār-e-husn javāñ-marg sūrat-e-gul-e-tar
misāl-e-ḳhār magar umr-e-dard-e-ishq darāz
vo vidyāpatī kī shā.irī kī
māsūm-o-hasīn-o-shoḳh rādhā
vo apne ḳhayāl kā kanhaiyā
in shahroñ meñ DhūñDne ga.ī thī
dastūr thā jin kā sañg-bārī
vo 'faiz'-o-'firāq' ziyāda
taqdīs-e-badan kī naġhma-ḳhvāñ thī
tahzīb-e-badan kī rāz-dāñ thī
gulnār badan kī tahniyat meñ
gulnār laboñ se gul-fishāñ thī
lab-āshnā lab ġhazal ke misre
jism-āshnā jism nazm-paikar
lafzoñ kī hatheliyāñ hinā.ī
tashbīhoñ kī uñgliyāñ gulābī
sarsabz ḳhayāl kā gulistāñ
mub.ham se kuchh āñsuoñ ke chashme
aahoñ kī vo halkī sī havā.eñ
sad-barg havā meñ muntashir the
titlī thī ki raqs kar rahī thī
aur dard ke bādaloñ se chhan kar
naġhmoñ kī phuvāre paḌ rahī thī
pur-shor munāfiqat ke bāzār
afvāheñ faroḳht kar rahe the
vo apnī shikasta shaḳhsiyat ko
ash.ār kī chādaroñ ke andar
is tarah sameTne lagī thī
ehsās meñ aa rahī thī vus.at
nazroñ kā ufuq badal rahā thā
aur dard-e-jahān-e-ādamiyat
TuuTe hue dil meñ Dhal rahā thā
is ālam-e-kaif-o-kam meñ ik din
ik hādse kā shikār ho kar
jab ḳhuuñ kā kafan pahan liyā to
uḌtīñ salībeñ nauha-ḳhvāñ thiiñ
ḳhāmosh thā karb-e-ḳhud-kalāmī
ab kuchh nahīñ rah gayā hai baaqī
baaqī hai suḳhan kī dil-navāzī
2
jannat meñ hai jashn-e-nau kā sāmāñ
mahfil meñ 'majāz'-o-'bā.iran' haiñ
maujūd haiñ 'keats' aur 'shailī'
ye marg-e-javāñ ke saare āshiq
ḳhush haiñ ki zamīn-e-pāk se ik
nau-marg-e-bahār aa ga.ī hai
lipTī huī ḳhaak kī hai ḳhushbū
aur sāya-fagan sahāb-e-rahmat
bahaar-e-husn jawan-marg surat-e-gul-e-tar
misal-e-KHar magar umr-e-dard-e-ishq daraaz
wo widyapati ki shairi ki
masum-o-hasin-o-shoKH radha
wo apne KHayal ka kanhaiya
in shahron mein DhunDne gai thi
dastur tha jin ka sang-bari
wo 'faiz'-o-'firaq' ziyaada
taqdis-e-badan ki naghma-KHwan thi
tahzib-e-badan ki raaz-dan thi
gulnar badan ki tahniyat mein
gulnar labon se gul-fishan thi
lab-ashna lab ghazal ke misre
jism-ashna jism nazm-paikar
lafzon ki hatheliyan hinai
tashbihon ki ungliyan gulabi
sarsabz KHayal ka gulistan
mubham se kuchh aansuon ke chashme
aahon ki wo halki si hawaen
sad-barg hawa mein muntashir the
titli thi ki raqs kar rahi thi
aur dard ke baadalon se chhan kar
naghmon ki phuware paD rahi thi
pur-shor munafiqat ke bazar
afwahen faroKHt kar rahe the
wo apni shikasta shaKHsiyat ko
ashaar ki chadaron ke andar
is tarah sameTne lagi thi
ehsas mein aa rahi thi wusat
nazron ka ufuq badal raha tha
aur dard-e-jahan-e-adamiyat
TuTe hue dil mein Dhal raha tha
is aalam-e-kaif-o-kam mein ek din
ek hadse ka shikar ho kar
jab KHun ka kafan pahan liya to
uDtin saliben nauha-KHwan thin
KHamosh tha karb-e-KHud-kalami
ab kuchh nahin rah gaya hai baqi
baqi hai suKHan ki dil-nawazi
2
jannat mein hai jashn-e-nau ka saman
mahfil mein 'majaz'-o-'bairan' hain
maujud hain 'keats' aur 'shaili'
ye marg-e-jawan ke sare aashiq
KHush hain ki zamin-e-pak se ek
nau-marg-e-bahaar aa gai hai
lipTi hui KHak ki hai KHushbu
aur saya-fagan sahab-e-rahmat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.