pas-e-aina
mujhe jamāl-e-badan kā hai e'tirāf magar
maiñ kyā karūñ ki varā-e-badan bhī dekhtā huuñ
ye kā.enāt faqat ek ruḳh nahīñ rakhtī
chaman bhī dekhtā huuñ aur ban bhī dekhtā huuñ
mirī nazar meñ haiñ jab husn ke tamām andāz
maiñ fan bhī dekhtā huuñ fikr-o-fan bhī dekhtā huuñ
nikal gayā huuñ fareb-e-nigāh se aage
maiñ āsmāñ ko shikan-dar-shikan bhī dekhtā huuñ
vo aadmī ki sabhī ro.e jin kī mayyat par
maiñ us ko zer-e-kafan ḳhanda-zan bhī dekhtā huuñ
maiñ jāntā huuñ ki ḳhurshīd hai jalāl-ma.āb
magar ġhurūb se ḳhud ko rihā.ī detā nahīñ
maiñ sochtā huuñ ki chāñd ik jamāl-pāra hai
magar vo ruḳh jo kisī ko dikhā.ī detā nahīñ
maiñ sochtā huuñ haqīqat kā ye tazād hai kyā
ḳhudā jo detā hai sab kuchh ḳhudā.ī detā nahīñ
vo log zauq se aarī haiñ jo ye kahte haiñ
ki ashk TūTtā hai aur sunā.ī detā nahīñ
badan bhī aag hai aur ruuh bhī jahannam hai
mirā qusūr ye hai meñ duhā.ī detā nahīñ
mujhe jamal-e-badan ka hai e'tiraf magar
main kya karun ki wara-e-badan bhi dekhta hun
ye kaenat faqat ek ruKH nahin rakhti
chaman bhi dekhta hun aur ban bhi dekhta hun
meri nazar mein hain jab husn ke tamam andaz
main fan bhi dekhta hun fikr-o-fan bhi dekhta hun
nikal gaya hun fareb-e-nigah se aage
main aasman ko shikan-dar-shikan bhi dekhta hun
wo aadmi ki sabhi roe jin ki mayyat par
main us ko zer-e-kafan KHanda-zan bhi dekhta hun
main jaanta hun ki KHurshid hai jalal-maab
magar ghurub se KHud ko rihai deta nahin
main sochta hun ki chand ek jamal-para hai
magar wo ruKH jo kisi ko dikhai deta nahin
main sochta hun haqiqat ka ye tazad hai kya
KHuda jo deta hai sab kuchh KHudai deta nahin
wo log zauq se aari hain jo ye kahte hain
ki ashk TuTta hai aur sunai deta nahin
badan bhi aag hai aur ruh bhi jahannam hai
mera qusur ye hai mein duhai deta nahin
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 131)
- Author : Ahmad nadiim qasmi
- Publication : farid book depot (pvt)ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.