pas-e-diwar-e-shab
nīm-shab meñ aish-e-bistar chhoḌ kar
kaun mere pīchhe pīchhe aa.egā
aur dekhegā ki maiñ
ek ġhair-ābād masjid meñ
chand anjāne buzurgoñ kī jamā.at meñ
tahajjud paḌh rahā huuñ
kaun dekhegā rijāl-ul-ġhaib mujh se
baat karne meñ magan haiñ
chāñd ko bāhar falak par chhoḌ kar
vaqt kī andhī guphā meñ
duur tak andar pahuñch
aag ke aur raushnī ke ābshāroñ meñ nahātā huuñ
aur isī rishte se bāhar aan kar
chāñd kī gardan meñ apnā haath Daale
anjuman-tā-anjuman āvārgī kā lutf letā huuñ
nīm-shab ko aish-e-bistar chhoḌ kar
nim-shab mein aish-e-bistar chhoD kar
kaun mere pichhe pichhe aaega
aur dekhega ki main
ek ghair-abaad masjid mein
chand anjaane buzurgon ki jamaat mein
tahajjud paDh raha hun
kaun dekhega rijal-ul-ghaib mujh se
baat karne mein magan hain
chand ko bahar falak par chhoD kar
waqt ki andhi gupha mein
dur tak andar pahunch
aag ke aur raushni ke aabshaaron mein nahata hun
aur isi rishte se bahar aan kar
chand ki gardan mein apna hath Dale
anjuman-ta-anjuman aawargi ka lutf leta hun
nim-shab ko aish-e-bistar chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.