pas-e-diwar-e-zindan
pas-e-dīvār-e-zindāñ
pas-e-dīvār-e-zindāñ kaun rahtā hai
hameñ ma.alūm kyā ham to
isī ik āgahī kī aag meñ julte haiñ
marte haiñ
ki din ko raat karte haiñ
kabhī ik raushnī thī
aur sitāroñ kī chamak thī tāzgī thī
magar ab bāb-e-zindāñ vā nahīñ hotā
hirāsāñ shaam kī tanhā.iyāñ haiñ
hameñ ab kyā ḳhabar kaun rahtā hai
pas-e-dīvār-e-zindāñ kaun rahtā hai
pas-e-dīvār-e-zindāñ kaun martā hai
pas-e-diwar-e-zindan
pas-e-diwar-e-zindan kaun rahta hai
hamein malum kya hum to
isi ek aagahi ki aag mein julte hain
marte hain
ki din ko raat karte hain
kabhi ek raushni thi
aur sitaron ki chamak thi tazgi thi
magar ab bab-e-zindan wa nahin hota
hirasan sham ki tanhaiyan hain
hamein ab kya KHabar kaun rahta hai
pas-e-diwar-e-zindan kaun rahta hai
pas-e-diwar-e-zindan kaun marta hai
- Book : Dastavez (Pg. 432)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.