pas-e-taqrib-e-mulaqat
pas-e-taqrīb-e-mulāqāt yahāñ shaam Dhale
der tak phailī rahegī tirī shirkat kī mahak
mutarannim se raheñge ye havā ke goshe
jin meñ ġhaltīda hai ab lahn-e-takallum terā
raat bhar phailī rahegī ye ta.assur kī shafaq
jazb hai jis meñ dil-āvez tabassum terā
yaad rah jā.egī is sehn ko ye shām-e-fusūñ
jal ga.ī thiiñ ka.ī an-dekhī suhānī sham.eñ
lau sā de uTThā thā māhaul tire aane kā
chhā gayā thā dar-o-dīvār pe vo partav-e-rañg
jaise māḳhūz hoñ lamhe kisī afsāne se
chhoḌ jā.egā vahī narm kasak phir dil meñ
jis se shādāb hai muddat se mirā zauq-e-talab
aaj taqrīb meñ ye tarz-e-mulāqāt tirā
be-niyāzāna taḳhātub meñ pareshāñ sā tire
gosha-e-lab pe koī harf shanāsā.ī kā
tamkanat vaalī adāoñ meñ anokhā sā niyāz
mujtanib āñkhoñ meñ ik aks pazīrā.ī kā
aam mauzū-e-suḳhan meñ bhī ayaañ lahja-e-ḳhās
zehn kī baat meñ bhī dil kī dhamak kā ehsās
ik tāhum sā kisī ġhamza-e-ġhaltīda meñ
ek mānūs sā ḳham kākul-e-paichīda meñ
tujh se ye rabt ki mauhūm bhī mafhūm bhī hai
tū ki hai mujh se tirī ziist kā har rañg judā
sharh-e-hālāt alag umr kā āhañg sivā
pahle hī raah meñ haa.el hai ḳhalīj-e-aqdār
tū ne tābinda bhī rakkhā hai tirā ḳhatt-e-hisār
phir bhī ik qurb kī ḳhushbū hai fazā meñ bedār
ye rah-o-rasm jo iz.hār-e-mohabbat bhī nahīñ
hai tire dam se ye rāhat ki jo rāhat bhī nahīñ
ġham-e-be-nām tire naam se mausūm bhī hai
husn se rābta-e-ishq ke mazmūñ haiñ bahut
is latāfat-kada-e-kaif meñ afsūñ haiñ bahut
na tire jism kā sandal na tire lab ke gulāb
na tirī zulf kī shabnam hai is ehsās kā naam
yuuñ to is shaam kā paikar bhī hai terā ye jamāl
is shanāsā.ī kā unvāñ hai faqat nik.hat-e-shām
chashm-e-hamdam kī atā-karda ye āsāish-e-dīd
mehrbāñ husn kā baḳhshā huā ye izn-e-kalām
aaj phir jāgtī rah jā.egī har baam tale
vahī shādāb sī hasrat vahī āsūda kasak
der tak phailī rahegī tirī shirkat kī mahak
pas-e-taqrīb-e-mulāqāt yahāñ shaam Dhale
pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale
der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak
mutarannim se rahenge ye hawa ke goshe
jin mein ghaltida hai ab lahn-e-takallum tera
raat bhar phaili rahegi ye tassur ki shafaq
jazb hai jis mein dil-awez tabassum tera
yaad rah jaegi is sehn ko ye sham-e-fusun
jal gai thin kai an-dekhi suhani shamen
lau sa de uTTha tha mahaul tere aane ka
chha gaya tha dar-o-diwar pe wo partaw-e-rang
jaise maKHuz hon lamhe kisi afsane se
chhoD jaega wahi narm kasak phir dil mein
jis se shadab hai muddat se mera zauq-e-talab
aaj taqrib mein ye tarz-e-mulaqat tera
be-niyazana taKHatub mein pareshan sa tere
gosha-e-lab pe koi harf shanasai ka
tamkanat wali adaon mein anokha sa niyaz
mujtanib aankhon mein ek aks pazirai ka
aam mauzu-e-suKHan mein bhi ayan lahja-e-KHas
zehn ki baat mein bhi dil ki dhamak ka ehsas
ek tahum sa kisi ghamza-e-ghaltida mein
ek manus sa KHam kakul-e-paichida mein
tujh se ye rabt ki mauhum bhi mafhum bhi hai
tu ki hai mujh se teri zist ka har rang juda
sharh-e-haalat alag umr ka aahang siwa
pahle hi rah mein hael hai KHalij-e-aqdar
tu ne tabinda bhi rakkha hai tera KHatt-e-hisar
phir bhi ek qurb ki KHushbu hai faza mein bedar
ye rah-o-rasm jo izhaar-e-mohabbat bhi nahin
hai tere dam se ye rahat ki jo rahat bhi nahin
gham-e-be-nam tere nam se mausum bhi hai
husn se rabta-e-ishq ke mazmun hain bahut
is latafat-kada-e-kaif mein afsun hain bahut
na tere jism ka sandal na tere lab ke gulab
na teri zulf ki shabnam hai is ehsas ka nam
yun to is sham ka paikar bhi hai tera ye jamal
is shanasai ka unwan hai faqat nikhat-e-sham
chashm-e-hamdam ki ata-karda ye aasaish-e-did
mehrban husn ka baKHsha hua ye izn-e-kalam
aaj phir jagti rah jaegi har baam tale
wahi shadab si hasrat wahi aasuda kasak
der tak phaili rahegi teri shirkat ki mahak
pas-e-taqrib-e-mulaqat yahan sham Dhale
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.