pashemani
maiñ ye soch kar us ke dar se uThā thā
ki vo rok legī manā legī mujh ko
havāoñ meñ lahrātā aatā thā dāman
ki dāman pakaḌ kar biThā legī mujh ko
qadam aise andāz se uTh rahe the
ki āvāz de kar bulā legī mujh ko
magar us ne rokā na mujh ko manāyā
na dāman hī pakḌā na mujh ko biThāyā
na āvāz hī dī na mujh ko bulāyā
maiñ āhista āhista baḌhtā hī aayā
yahāñ tak ki us se judā ho gayā maiñ
main ye soch kar us ke dar se uTha tha
ki wo rok legi mana legi mujh ko
hawaon mein lahraata aata tha daman
ki daman pakaD kar biTha legi mujh ko
qadam aise andaz se uTh rahe the
ki aawaz de kar bula legi mujh ko
magar us ne roka na mujh ko manaya
na daman hi pakDa na mujh ko biThaya
na aawaz hi di na mujh ko bulaya
main aahista aahista baDhta hi aaya
yahan tak ki us se juda ho gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.