password
mohabbat ke nagar meñ
surḳh phūloñ se mahakte
sabz mausam kī
navelī ḳhvāhishoñ meñ bhīgte
sarshār jazboñ se nikaltī
ābshāroñ meñ ghirī
vaadī ke andar
dāḳhle ke vāste
dar kholne kā ism-e-āzam hai
vahī ik naam
terā naam
terā naam
mohabbat ke nagar mein
surKH phulon se mahakte
sabz mausam ki
naweli KHwahishon mein bhigte
sarshaar jazbon se nikalti
aabshaaron mein ghiri
wadi ke andar
daKHle ke waste
dar kholne ka ism-e-azam hai
wahi ek nam
tera nam
tera nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.