pat-jhaD ki ek subh
sūkhī dhartī pe chup chup barasne lagīñ
niim kī patiyāñ
nīche jhukne lagā nīl-gūñ āsmāñ
naam le kar mirā
duur se jaise koī bulāne lagā
yaad aane lagā
ek guzrā huā din ummīdoñ-bharā
halke halke se rañgoñ meñ chalne lagī
daur ke shahr kī
ThanDī ThanDī havā
sukhi dharti pe chup chup barasne lagin
nim ki patiyan
niche jhukne laga nil-gun aasman
nam le kar mera
dur se jaise koi bulane laga
yaad aane laga
ek guzra hua din ummidon-bhara
halke halke se rangon mein chalne lagi
daur ke shahr ki
ThanDi ThanDi hawa
- Book : Azadi Ke Bad Urdu Nazam (Pg. 561)
- Author : Shamim Hanfi and Mazhar Mahdi
- Publication : qaumi council baraye-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.