pat-jhaD
ye raqs-e-āfrīnash hai ki shor-e-marg hai ai dil
havā kuchh is tarah peḌoñ se mil mil kar guzartī hai
ki jaise āḳhirī bosa ho ye pahlī mohabbat bhī
har ik sū marg-ārā hai adam-añgezī-e-fitrat
magar shāyad nigāhoñ meñ abhī kuchh zauq baaqī hai
ki maiñ is karb meñ bhī kaif paatā huuñ
jahāñ tak dekh paatā huuñ zamīñ par tābish-e-zar hai
fazā-e-nīl-gūñ meñ barg-afshānī se manzar hai
maiñ in rañgīniyoñ meñ Duub jaatā huuñ
mujhe har husn goyā ek dars-e-shādmānī hai
ki is takmīl meñ vo dilkashī hai vo javānī hai
ki phir barbādī-e-bād-e-ḳhizāñ kā ġham nahīñ rahtā
mirī tārīk fitrat meñ bhī ik taqdīs kā sho.ala
kisī kaif-e-darūñ se phuuT jaatā hai
koī ik qabr par jaise diyā rakh de
ye ā.īn-e-gul-afrozī bhī kitnā rūh-parvar hai
harīrī koñpaloñ se zardgūñ patjhaḌ ke pattoñ tak
mujhe ik irtiqā-e-husn miltā hai
magar daur-e-zamāñ se aah maiñ pāmāl-o-afsurda
kahīñ baiThā huā guzre dinoñ ko yaad kartā huuñ
abhī parchhā.iyāñ kuchh ahd-e-rafta kī
mirī āñkhoñ meñ haiñ larzāñ
mirī tasvīr bachpan kī
abhī tak gosha-e-dīvār meñ hai vo bhī āvezāñ
maiñ pahroñ dekhtā rahtā huuñ is tasvīr ko lekin
yaqīñ mujh ko nahīñ aatā ki ye merā hī partav hai
har ik shai ajnabī sī ġhair sī mahsūs hotī hai
na koī iztirāb-e-dil na koī kāhish-e-darmāñ
na zer-e-lab bhī koī talḳhi-e-aiyyām kā shikva
na un kī yaad jo ab zikr bhī merā nahīñ karte
jo shāyad ab mujhe taqvīm-e-pārīna samajhte haiñ
maiñ Dartā huuñ ki is duniyā meñ koī bhī nahīñ merā
jo chāhūñ bhī to kis ko dāstān-e-ġham sunā.ūñgā
vo rañj-e-tah-nashīñ hai jo bayāñ ho hī nahīñ saktā
vo bād-e-sard kī be-mehr tezī hai
ki ḳhūn-e-dil bhī ab kuchh munjamid ma.alūm hotā hai
na vo shorīdgī baaqī na ab vo shor-e-girya hai
mire dāġh-e-jigar se vo tarāvish bhī nahīñ hotī
mirī ra.anā.iyāñ mujh se gurezāñ haiñ
vo merī fitrat-e-ma.asūm vo merī jigar-sozī
vo merī dard-mandī vo ḳhamoshī vo kam-āmezī
vo ashkoñ kī dil-āvezī
har ik shai mā.il-e-parvāz ho jaise
mujhe is kā bahut ġham hai
abhī tak is zavāl-e-dilbarī kā dil ko mātam hai
maiñ hairāñ huuñ ki kyā yazdāñ bhī koī tifl-e-maktab hai
ki jo yuuñ khel kar par noch letā hai patañgoñ ke
vo kaisī sūrateñ hoñgī jo zer-e-ḳhāk pinhāñ haiñ
magar vo log jo miTne se pahle maañd paḌ jaa.eñ
vo jin kī guftugū bhī ek sargoshī sī ban jaa.e
vo afsurda pashemāñ muzmahil māyūs aa.e jo
farāmoshī kī manzil kī taraf chupke se baḌhte haiñ
bhalā un kī talāfī va.ada-e-rañgīñ se kyā hogī
ḳhudā-e-do-jahāñ hai tū bhī kitnā shoḳh-o-be-parvā
bahut maiñ ne bhī kī haiñ dīda-e-pur-ḳhūñ kī tafsīreñ
magar ye dāman-e-tar kyā karūñ gulshan nahīñ bantā
yahī vo sarzamīñ vo intihā-e-fikr-e-yazdāñ hai
ki jis meñ ḳhāk-o-ḳhūñ kā har ghaḌī ik khel hotā hai
magar phir bhī vahī be-rañgī-e-timsāl-e-ālam hai
kahāñ vo manzil-e-jāñ hai kahāñ hai ḳhātma āḳhir
ye mumkin hai na koī ḳhātma is rah-guzar kā ho
maiñ ḳhair-o-shar ke farsūda tasavvur meñ abhī gum huuñ
nahīñ ma.alūm koī muntahā-e-zindagī bhī hai
ki juz ik nāla-e-gardish nahīñ sarmāya-e-ālam
kahīñ vo bāġh-e-rizvāñ bhī na ik husn-e-tabī.at ho
jise gardūñ samajhtā huuñ vo ik mauhūm vus.at ho
nahīñ maiñ mahram-e-rāz-e-darūñ-mai-kada lekin
yahī mahsūs hotā hai ki har shai kuchh digar-gūñ hai
dil-e-fitrat meñ hai shāyad tamannā-e-jahān-e-nau
magar jaise urūs-e-zindagī kahtī ho hañs hañs kar
ki aalam ik bahār-e-surḳhī-e-ḳhūn-e-shahīdāñ hai
ye mahr-o-māh o parvīñ ye zamīñ ye lāla-o-nasrīñ
ye fānūs-e-ḳhālī laḌkhaḌā kar TuuT jā.egā
ye duniyā ḳhvāb kī jhūTī kahānī hai
maiñ is rañgīnī-e-aurāq se dil-shād kyā hūñgā
mire dil meñ nahīñ ab ārzū-e-ḳhuld bhī baaqī
mujhe ye raushnī ye āsmāñ kī be-karāñ vus.at
koī dars-e-tamāshā ab nahīñ detī
mire hue safed-o-sīm kā aah ye manzar
fareb-e-dīd hai merā kafan hogā
mirī is ḳhaak meñ ab garmī-e-ta.amīr kyā hogī
vo duniyā miT chukī ab is ke miTne kā nahīñ kuchh ġham
ye marg-e-nā-gahāñ apnā nasība thā
magar ik tiir jaise aaj bhī paivast ho dil meñ
ki vo ra.anā.ī-e-ā.īn-e-barg-e-gul nahīñ mujh meñ
mirī shām-e-ḳhizāñ kyuuñ itnī vīrāñ hai?
ye raqs-e-afrinash hai ki shor-e-marg hai ai dil
hawa kuchh is tarah peDon se mil mil kar guzarti hai
ki jaise aaKHiri bosa ho ye pahli mohabbat bhi
har ek su marg-ara hai adam-angezi-e-fitrat
magar shayad nigahon mein abhi kuchh zauq baqi hai
ki main is karb mein bhi kaif pata hun
jahan tak dekh pata hun zamin par tabish-e-zar hai
faza-e-nil-gun mein barg-afshani se manzar hai
main in ranginiyon mein Dub jata hun
mujhe har husn goya ek dars-e-shadmani hai
ki is takmil mein wo dilkashi hai wo jawani hai
ki phir barbaadi-e-baad-e-KHizan ka gham nahin rahta
meri tarik fitrat mein bhi ek taqdis ka shoala
kisi kaif-e-darun se phuT jata hai
koi ek qabr par jaise diya rakh de
ye aain-e-gul-afrozi bhi kitna ruh-parwar hai
hariri konpalon se zardgun patjhaD ke patton tak
mujhe ek irtiqa-e-husn milta hai
magar daur-e-zaman se aah main pamal-o-afsurda
kahin baiTha hua guzre dinon ko yaad karta hun
abhi parchhaiyan kuchh ahd-e-rafta ki
meri aankhon mein hain larzan
meri taswir bachpan ki
abhi tak gosha-e-diwar mein hai wo bhi aawezan
main pahron dekhta rahta hun is taswir ko lekin
yaqin mujh ko nahin aata ki ye mera hi partaw hai
har ek shai ajnabi si ghair si mahsus hoti hai
na koi iztirab-e-dil na koi kahish-e-darman
na zer-e-lab bhi koi talKHi-e-aiyyam ka shikwa
na un ki yaad jo ab zikr bhi mera nahin karte
jo shayad ab mujhe taqwim-e-parina samajhte hain
main Darta hun ki is duniya mein koi bhi nahin mera
jo chahun bhi to kis ko dastan-e-gham sunaunga
wo ranj-e-tah-nashin hai jo bayan ho hi nahin sakta
wo baad-e-sard ki be-mehr tezi hai
ki KHun-e-dil bhi ab kuchh munjamid malum hota hai
na wo shoridgi baqi na ab wo shor-e-girya hai
mere dagh-e-jigar se wo tarawish bhi nahin hoti
meri ranaiyan mujh se gurezan hain
wo meri fitrat-e-masum wo meri jigar-sozi
wo meri dard-mandi wo KHamoshi wo kam-amezi
wo ashkon ki dil-awezi
har ek shai mail-e-parwaz ho jaise
mujhe is ka bahut gham hai
abhi tak is zawal-e-dilbari ka dil ko matam hai
main hairan hun ki kya yazdan bhi koi tifl-e-maktab hai
ki jo yun khel kar par noch leta hai patangon ke
wo kaisi suraten hongi jo zer-e-KHak pinhan hain
magar wo log jo miTne se pahle mand paD jaen
wo jin ki guftugu bhi ek sargoshi si ban jae
wo afsurda pasheman muzmahil mayus aae jo
faramoshi ki manzil ki taraf chupke se baDhte hain
bhala un ki talafi wada-e-rangin se kya hogi
KHuda-e-do-jahan hai tu bhi kitna shoKH-o-be-parwa
bahut main ne bhi ki hain dida-e-pur-KHun ki tafsiren
magar ye daman-e-tar kya karun gulshan nahin banta
yahi wo sarzamin wo intiha-e-fikr-e-yazdan hai
ki jis mein KHak-o-KHun ka har ghaDi ek khel hota hai
magar phir bhi wahi be-rangi-e-timsal-e-alam hai
kahan wo manzil-e-jaan hai kahan hai KHatma aaKHir
ye mumkin hai na koi KHatma is rah-guzar ka ho
main KHair-o-shar ke farsuda tasawwur mein abhi gum hun
nahin malum koi muntaha-e-zindagi bhi hai
ki juz ek nala-e-gardish nahin sarmaya-e-alam
kahin wo bagh-e-rizwan bhi na ek husn-e-tabiat ho
jise gardun samajhta hun wo ek mauhum wusat ho
nahin main mahram-e-raaz-e-darun-mai-kada lekin
yahi mahsus hota hai ki har shai kuchh digar-gun hai
dil-e-fitrat mein hai shayad tamanna-e-jahan-e-nau
magar jaise urus-e-zindagi kahti ho hans hans kar
ki aalam ek bahaar-e-surKHi-e-KHun-e-shahidan hai
ye mahr-o-mah o parwin ye zamin ye lala-o-nasrin
ye fanus-e-KHali laDkhaDa kar TuT jaega
ye duniya KHwab ki jhuTi kahani hai
main is rangini-e-auraq se dil-shad kya hunga
mere dil mein nahin ab aarzu-e-KHuld bhi baqi
mujhe ye raushni ye aasman ki be-karan wusat
koi dars-e-tamasha ab nahin deti
mere hue safed-o-sim ka aah ye manzar
fareb-e-did hai mera kafan hoga
meri is KHak mein ab garmi-e-tamir kya hogi
wo duniya miT chuki ab is ke miTne ka nahin kuchh gham
ye marg-e-na-gahan apna nasiba tha
magar ek tir jaise aaj bhi paiwast ho dil mein
ki wo ranai-e-ain-e-barg-e-gul nahin mujh mein
meri sham-e-KHizan kyun itni viran hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.