patang
kabhī kabhī man kartā hai
patañg ban kar āsmān meñ uḌne kā
ghar kī TuuTī chhat pe chaḌh kar dekhtā huuñ
rañg-birañgī ka.ī patañgeñ
lekin niile āsmān ko
dekh nahīñ paatā huuñ maiñ
dikhā.ī detī hai bas mujh ko apnī patañg
āsmān aur mire darmiyāñ
haa.il ek patañg
kabhi kabhi man karta hai
patang ban kar aasman mein uDne ka
ghar ki TuTi chhat pe chaDh kar dekhta hun
rang-birangi kai patangen
lekin nile aasman ko
dekh nahin pata hun main
dikhai deti hai bas mujh ko apni patang
aasman aur mere darmiyan
hail ek patang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.