patjhaD ki hawa
phir zor dikhā
patjhaḌ kī havā
aa mere badan ko chuum zarā
maiñ ik taaza
dhānī pata
is mausam meñ har ik se judā tanhā tanhā
ek tanz kī sūrat raḳhshanda
aur baaqī sab manzar bhūrā patjhaḌ kī havā!
patjhaḌ kī havā
aa mujh ko bhī ḳhākistar kar
yā mujh se mil kar ab tū bhī dhānī ho jā
phir zor dikha
patjhaD ki hawa
aa mere badan ko chum zara
main ek taza
dhani pata
is mausam mein har ek se juda tanha tanha
ek tanz ki surat raKHshanda
aur baqi sab manzar bhura patjhaD ki hawa!
patjhaD ki hawa
aa mujh ko bhi KHakistar kar
ya mujh se mil kar ab tu bhi dhani ho ja
- Book : Hukm Nama (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.