patthar ka dil
mohabbat ko badduā na do
jashn-e-judā.ī dil-e-nā-subūr kī tajdīd hai
bichhaḌ jaanā hādisa hai
shab-e-dil-barī tumheñ kho dene ka sog hai
jahāñ taqdīr kī tasvīreñ miTā dī jaatī haiñ
mohabbat kā inkishāf kahānī ban kar
hameñ barbād kar detā hai
bebasī hameñ judā kar detī hai
mohabbat diloñ ke uqūbat-ḳhāne meñ mahfūz rahtī hai
jab koī mohabbat meñ siskā siskā kar maar diyā jaatā hai
judā.ī ka sadma vahī jāntā hai
jis ke ḳhvāboñ se gulāb chhīn liye jaate haiñ
ḳhudā tumheñ merī yaad meñ na tarsā.e
tum merī sochoñ meñ ābād raho
sānahe aate haiñ aur jaate haiñ
judā.ī kī ḳhatm hone vaalī zindagī
mohabbat na ḳhatm hone vaalā safar hai
azal se abad tak ḳhvāboñ se haqīqat tak
dil se ruuh tak
dil samjhauta nahīñ kartā
ḳhvāb bāġhī hote haiñ
jaise hamārā sadiyoñ kā marā huā lamhoñ ka pyaar
tanhā.iyoñ meñ rāste kahīñ kho jaate haiñ
ḳhvāboñ kī sunsān galiyoñ meñ
hāthoñ meñ liye phirtā huuñ
aag meñ bujhā huā patthar kā dil
mohabbat ko baddua na do
jashn-e-judai dil-e-na-subur ki tajdid hai
bichhaD jaana hadisa hai
shab-e-dil-bari tumhein kho dene ka sog hai
jahan taqdir ki taswiren miTa di jati hain
mohabbat ka inkishaf kahani ban kar
hamein barbaad kar deta hai
bebasi hamein juda kar deti hai
mohabbat dilon ke uqubat-KHane mein mahfuz rahti hai
jab koi mohabbat mein siska siska kar mar diya jata hai
judai ka sadma wahi jaanta hai
jis ke KHwabon se gulab chhin liye jate hain
KHuda tumhein meri yaad mein na tarsae
tum meri sochon mein aabaad raho
sanahe aate hain aur jate hain
judai ki KHatm hone wali zindagi
mohabbat na KHatm hone wala safar hai
azal se abad tak KHwabon se haqiqat tak
dil se ruh tak
dil samjhauta nahin karta
KHwab baghi hote hain
jaise hamara sadiyon ka mara hua lamhon ka pyar
tanhaiyon mein raste kahin kho jate hain
KHwabon ki sunsan galiyon mein
hathon mein liye phirta hun
aag mein bujha hua patthar ka dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.