patthar ke honT
kal raat
bārish se jism
aur āñ.suoñ se
chehra bhiig rahā thā
us ke ġham kī parda-dārī
shāyad ḳhudā bhī karnā chāhtā thā
lekin dhuup nikalne ke ba.ad
jism to suukh gayā
lekin āñkhoñ ne
qudarat kā kahnā mānñe se
bhī
inkār kar diyā
us ke udaas
hoñT patthar ke ho ga.e the
aur patthar muskurā nahīñ sakte
kal raat
barish se jism
aur aansuon se
chehra bhig raha tha
us ke gham ki parda-dari
shayad KHuda bhi karna chahta tha
lekin dhup nikalne ke baad
jism to sukh gaya
lekin aankhon ne
qudarat ka kahna manne se
bhi
inkar kar diya
us ke udas
honT patthar ke ho gae the
aur patthar muskura nahin sakte
- Book : Shahdaba (Pg. 106)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.