patthar ki zaban
isī akele pahāḌ par tū mujhe milā thā
yahī bulandī hai vasl terā
yahī hai patthar mirī vafā kā
ujaaḌ chaTyal udaas vīrāñ
magar maiñ sadiyoñ se, is se lipTī huī khaḌī huuñ
phaTī huī oḌhnī meñ sāñseñ tirī sameTe
havā ke vahshī bahāo par uḌ rahā hai dāman
sambhālā letī huuñ pattharoñ ko gale lagā kar
nukīle patthar
jo vaqt ke saath mere siine meñ itne gahre utar ga.e haiñ
ki mere jiite lahū se sab aas paas rañgīn ho gayā hai
magar maiñ sadiyoñ se is se lipTī huī khaḌī huuñ
aur ek ūñchī uḌaan vaale parind ke haath
tujh ko paiġhām bhejtī huuñ
tū aa ke dekhe
to kitnā ḳhush ho
ki sañg-reze tamām yāqūt ban ga.e haiñ
damak rahe haiñ
gulāb patthar se ug rahā hai
Tongue of stone
isi akele pahaD par tu mujhe mila tha
yahi bulandi hai wasl tera
yahi hai patthar meri wafa ka
ujaD chaTyal udas viran
magar main sadiyon se, is se lipTi hui khaDi hun
phaTi hui oDhni mein sansen teri sameTe
hawa ke wahshi bahao par uD raha hai daman
sambhaala leti hun pattharon ko gale laga kar
nukile patthar
jo waqt ke sath mere sine mein itne gahre utar gae hain
ki mere jite lahu se sab aas pas rangin ho gaya hai
magar main sadiyon se is se lipTi hui khaDi hun
aur ek unchi uDan wale parind ke hath
tujh ko paigham bhejti hun
tu aa ke dekhe
to kitna KHush ho
ki sang-reze tamam yaqut ban gae hain
damak rahe hain
gulab patthar se ug raha hai
Tongue of stone
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.