patthar par taswir bana kar
patthar par tasvīr banā kar
paanī meñ chhup jaatā hai
sahrā sahrā ḳhaak uḌātā
jañgal meñ lahrātā hai
sūkhe pattoñ ko khaḌkātā
sabze se sharmātā hai
sadiyoñ ke tārīk khañDar meñ
jab āvāz lagātā hai
lā-mahdūd ḳhalā ke lab par
ḳhāmoshī ban jaatā hai
patthar par taswir bana kar
pani mein chhup jata hai
sahra sahra KHak uData
jangal mein lahraata hai
sukhe patton ko khaDkata
sabze se sharmata hai
sadiyon ke tarik khanDar mein
jab aawaz lagata hai
la-mahdud KHala ke lab par
KHamoshi ban jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.