payaade
shatranj kī bisāt par
bādshāh qil.a-band rahtā hai
jañg vazīr laḌtā hai
bādshāh kī saarī ummīdeñ
vazīr se vābasta yūñhī haiñ
vazīr apne mohroñ ko tahaffuz detā hai
dūsre ke mohroñ ko shikār kartā hai
khel aage baḌhtā hai
qiloñ meñ shigāf paḌ jaatā hai
vazīr agle mahāz par laḌte laḌte
kaam aa jaatā hai
lekin baazī ḳhatm nahīñ hotī
bādshāh qil.e se nikaltā hai
pyādoñ par bharosā kartā hai
payāde hausla paate haiñ
raah kī rukāvaTeñ haTāte haiñ
aage baḌhte baḌhte
kuchh der meñ
vazīr ban jaate haiñ
shatranj ki bisat par
baadshah qila-band rahta hai
jang wazir laDta hai
baadshah ki sari ummiden
wazir se wabasta yunhi hain
wazir apne mohron ko tahaffuz deta hai
dusre ke mohron ko shikar karta hai
khel aage baDhta hai
qilon mein shigaf paD jata hai
wazir agle mahaz par laDte laDte
kaam aa jata hai
lekin bazi KHatm nahin hoti
baadshah qile se nikalta hai
pyaadon par bharosa karta hai
payaade hausla pate hain
rah ki rukawaTen haTate hain
aage baDhte baDhte
kuchh der mein
wazir ban jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.