payam-e-amal
gar qaum kī ḳhidmat kartā hai
ehsān tū kis par dhartā hai
kyoñ ġhairoñ kā dam bhartā hai
kyoñ ḳhauf ke maare martā hai
uTh bāñdh kamar kyā Dartā hai
phir dekh ḳhudā kyā kartā hai
jo umreñ muft gañvā.egā
vo āḳhir ko pachhtā.egā
kuchh baiThe haath na aa.egā
jo DhūñDegā vo pā.egā
tū kab tak der lagā.egā
ye vaqt bhī āḳhir jā.egā
uTh bāñdh kamar kyā Dartā hai
phir dekh ḳhudā kyā kartā hai
jo mauqa pā kar kho.egā
vo ashkoñ se muñh dho.egā
jo so.egā vo ro.egā
aur kāTegā jo bo.egā
tū ġhāfil kab tak so.egā
jo honā hogā ho.egā
uTh bāñdh kamar kyā Dartā hai
phir dekh ḳhudā kyā kartā hai
ye duniyā āḳhir faanī hai
aur jaan bhī ik din jaanī hai
phir tujh ko kyoñ hairānī hai
kar Daal jo dil meñ Thānī hai
jab himmat kī jaulānī hai
to patthar bhī phir paanī hai
uTh bāñdh kamar kyā Dartā hai
phir dekh ḳhudā kyā kartā hai
gar qaum ki KHidmat karta hai
ehsan tu kis par dharta hai
kyon ghairon ka dam bharta hai
kyon KHauf ke mare marta hai
uTh bandh kamar kya Darta hai
phir dekh KHuda kya karta hai
jo umren muft ganwaega
wo aaKHir ko pachhtaega
kuchh baiThe hath na aaega
jo DhunDega wo paega
tu kab tak der lagaega
ye waqt bhi aaKHir jaega
uTh bandh kamar kya Darta hai
phir dekh KHuda kya karta hai
jo mauqa pa kar khoega
wo ashkon se munh dhoega
jo soega wo roega
aur kaTega jo boega
tu ghafil kab tak soega
jo hona hoga hoega
uTh bandh kamar kya Darta hai
phir dekh KHuda kya karta hai
ye duniya aaKHir fani hai
aur jaan bhi ek din jaani hai
phir tujh ko kyon hairani hai
kar Dal jo dil mein Thani hai
jab himmat ki jaulani hai
to patthar bhi phir pani hai
uTh bandh kamar kya Darta hai
phir dekh KHuda kya karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.