payam-e-masarrat
bachpan ke ek dost mire ghar pe aa.e the
mere liye payām-e-masarrat vo laa.e the
ya.anī ki un ke beTe kī shādī meñ jā.ūñ maiñ
aur saath un ke murġh-e-musallam uḌā.ūñ maiñ
maiñ ne kahā ki aap takalluf na kījiye
mashġhūl huuñ maiñ aap mujhe baḳhsh dījiye
bole barāt aap nahīñ jā.eñge agar
sun lījiye na jā.ūñgā samdhī ke maiñ bhī ghar
ye baat sun ke maiñ bhī muravvat meñ paḌ gayā
kī arz hai qubūl mujhe hukm aap kā
ḳhush ho ke mere dost ne ik list dī thamā
shajra thā ḳhāndān kā jis meñ likhā huā
bole ki nūr-e-chashm kā sahrā likheñ janāb
misroñ meñ jin ke naam har ik fiT kareñ janāb
maiñ ne kahā ki bhaa.ī mire aisī shart par
mumkin nahīñ ki likh sakūñ maiñ sehra-e-pisar
is list meñ to saikḌoñ logoñ ke naam haiñ
sab naam ek bahr meñ kaise khapā.ūñ maiñ
khetī meñ sher kī nahīñ mumkin hai hal chale
bahr-e-rajaz meñ ya.anī ki bahr-e-ramal chale
bole vo aa ke taish meñ bas jaane dījiye
mat jā.iye barāt ab ārām kījiye
bachpan ke ek dost mere ghar pe aae the
mere liye payam-e-masarrat wo lae the
yani ki un ke beTe ki shadi mein jaun main
aur sath un ke murgh-e-musallam uDaun main
main ne kaha ki aap takalluf na kijiye
mashghul hun main aap mujhe baKHsh dijiye
bole baraat aap nahin jaenge agar
sun lijiye na jaunga samdhi ke main bhi ghar
ye baat sun ke main bhi murawwat mein paD gaya
ki arz hai qubul mujhe hukm aap ka
KHush ho ke mere dost ne ek list di thama
shajra tha KHandan ka jis mein likha hua
bole ki nur-e-chashm ka sahra likhen janab
misron mein jin ke nam har ek fiT karen janab
main ne kaha ki bhai mere aisi shart par
mumkin nahin ki likh sakun main sehra-e-pisar
is list mein to saikDon logon ke nam hain
sab nam ek bahr mein kaise khapaun main
kheti mein sher ki nahin mumkin hai hal chale
bahr-e-rajaz mein yani ki bahr-e-ramal chale
bole wo aa ke taish mein bas jaane dijiye
mat jaiye baraat ab aaram kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.