payam
fazāoñ meñ koī nādīda ma.alūm rasta hai
jahāñ jazbāt muztar ruuh ke sīmāb-pā qāsid
sa.ūbāt-e-safar se be-ḳhabar ik duur manzil ko
paroñ meñ ulfatoñ ke raaz ko le kar
havāoñ kī tarah āzād be-parvā uḌe jaa.eñ
payām-e-shauq de aa.eñ
agar is raat us be-rāh raste par
koī jazba dil-e-betāb se uTh kar
ināñ-bardashta nikle
ishāre garm josh-e-ārzū ā.eñge esir par
unheñ paḌhnā
agar manzūr-e-ḳhātir ho
javāban ek jazbe ko savār-e-barq kar denā
fazaon mein koi nadida malum rasta hai
jahan jazbaat muztar ruh ke simab-pa qasid
saubaat-e-safar se be-KHabar ek dur manzil ko
paron mein ulfaton ke raaz ko le kar
hawaon ki tarah aazad be-parwa uDe jaen
payam-e-shauq de aaen
agar is raat us be-rah raste par
koi jazba dil-e-betab se uTh kar
inan-bardashta nikle
ishaare garm josh-e-arzu aaenge esir par
unhen paDhna
agar manzur-e-KHatir ho
jawaban ek jazbe ko sawar-e-barq kar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.