payam
dil-e-fasurda ko ab tāqat-e-qarār nahīñ
nigāh-e-shauq ko ab tāb-e-intizār nahīñ
nahīñ nahīñ mujhe bardāsht ab nahīñ kī nahīñ
ḳhudā ke vāste kahnā na ab kī baar ''nahīñ''
hamesha va.ade kiye ab ke mil hī jā aa kar
hayāt o va.ada o duniyā kā e'tibār nahīñ
dikhā.ī apnī mohabbat ko chiir kar siina
magar numūd mirā sheva-o-shi.ār nahīñ
mirī bahan mirī mahbūba hub ajab shai hai
jahān-e-ḳhāk nahīñ kuchh jo dost-dār nahīñ
dil-e-fasurda ko ab taqat-e-qarar nahin
nigah-e-shauq ko ab tab-e-intizar nahin
nahin nahin mujhe bardasht ab nahin ki nahin
KHuda ke waste kahna na ab ki bar nahin
hamesha wade kiye ab ke mil hi ja aa kar
hayat o wada o duniya ka e'tibar nahin
dikhai apni mohabbat ko chir kar sina
magar numud mera shewa-o-shiar nahin
meri bahan meri mahbuba hub ajab shai hai
jahan-e-KHak nahin kuchh jo dost-dar nahin
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 937)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.