pazirai
dil baḌhā us kī pazīrā.ī ko
hāthoñ meñ uThā.e
sabz jugnū
nuqra.ī gul
surḳh nāranjī sunahrī kāñptī lau kā charāġh
aisī gul-rū thī ki jab aatī nazar ke sāmne
saarī samtoñ meñ mahak uThte the baaġh
aisī mah-ruḳh thī añdhere meñ bhī
jab dil ke qarīb aatā kabhī us kā ḳhayāl
is adā se sar pe rakkhe
chāñd-tāroñ se bharā puurā falak
jaise ho ik chhoTā sā thaal
aisī dilbar thī ki jab rakh detī
dil ke dil pe haath
bhuul jaatā zindagī ke rañj
ġhairoñ ke diye sab zaḳhm
apnoñ se sunī har talḳh baat
aur ga.ī to le ga.ī
har ik ḳhushī har raushnī ko apne saath
zindagī kyā jagmagātī
bujh ga.ī jab kā.enāt
kis tarah zinda rahā dil
ādatan dhaḌkā kyā dil
rāste meñ
bas isī ke rāste meñ
umr-bhar Thahrā rahā dil
aur zahe qismat chalī aatī hai phir se
apne chehre par sajā.e
ik nadāmat
muskurāhaT meñ ḳhajālat
aañkh meñ lekin vahī pahlī qayāmat
khul uThā hai dil
baḌhā hai sar pe rakkhe
jhilmilātī ārzūoñ aur ummīdoñ kā taaj
dil baḌhā
pahlī mohabbat
aur na.e ġham kī pazīrā.ī ko aaj
dil baDha us ki pazirai ko
hathon mein uThae
sabz jugnu
nuqrai gul
surKH naranji sunahri kanpti lau ka charagh
aisi gul-ru thi ki jab aati nazar ke samne
sari samton mein mahak uThte the bagh
aisi mah-ruKH thi andhere mein bhi
jab dil ke qarib aata kabhi us ka KHayal
is ada se sar pe rakkhe
chand-taron se bhara pura falak
jaise ho ek chhoTa sa thaal
aisi dilbar thi ki jab rakh deti
dil ke dil pe hath
bhul jata zindagi ke ranj
ghairon ke diye sab zaKHm
apnon se suni har talKH baat
aur gai to le gai
har ek KHushi har raushni ko apne sath
zindagi kya jagmagati
bujh gai jab kaenat
kis tarah zinda raha dil
aadatan dhaDka kya dil
raste mein
bas isi ke raste mein
umr-bhar Thahra raha dil
aur zahe qismat chali aati hai phir se
apne chehre par sajae
ek nadamat
muskurahaT mein KHajalat
aankh mein lekin wahi pahli qayamat
khul uTha hai dil
baDha hai sar pe rakkhe
jhilmilati aarzuon aur ummidon ka taj
dil baDha
pahli mohabbat
aur nae gham ki pazirai ko aaj
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 493)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.