pazirai
abhī maiñ ne dahlīz par paañv rakkhā hī thā ki
kisī ne mire sar pe phūloñ bharā thaal ulTā diyā
mere bāloñ pe āñkhoñ pe palkoñ pe, hoñToñ pe
māthe pe, ruḳhsār par
phuul hī phuul the
do bahut muskurāte hue hoñT
mere badan par mohabbat kī gulnār mohroñ ko yuuñ sabt karte
chale jā rahe the
ki jaise abad tak
mirī ek ik por kā intisāb
apnī zebā.ī ke naam le kar raheñge
mujhe apne andar samo kar raheñge!
abhi main ne dahliz par panw rakkha hi tha ki
kisi ne mere sar pe phulon bhara thaal ulTa diya
mere baalon pe aankhon pe palkon pe, honTon pe
mathe pe, ruKHsar par
phul hi phul the
do bahut muskuraate hue honT
mere badan par mohabbat ki gulnar mohron ko yun sabt karte
chale ja rahe the
ki jaise abad tak
meri ek ek por ka intisab
apni zebai ke nam le kar rahenge
mujhe apne andar samo kar rahenge!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.