bhagwan krishn ki taswir dekh kar
mujhe tere tasavvur se ḳhushī mahsūs hotī hai
dil-e-murda meñ bhī kuchh zindagī mahsūs hotī hai
ye tāroñ kī chamak meñ hai na phūloñ hī kī ḳhushbū meñ
tirī tasvīr meñ jo dilkashī mahsūs hotī hai
tujhe maiñ aaj tak masrūf-e-dars-o-va.az paatā huuñ
tirī hastī mukammal āgahī mahsūs hotī hai
ye kyā mumkin nahīñ tū aa ke ḳhud ab is kā darmāñ kar
fazā-e-dahr meñ kuchh barhamī mahsūs hotī hai
ujālā sā ujālā hai tirī sham-e-hidāyat kā
shab-e-tīra meñ bhī ik raushnī mahsūs hotī hai
maiñ aa.uuñ bhī to kyā muñh le ke aa.uuñ sāmne tere
ḳhud apne-āp se sharmindagī mahsūs hotī hai
taḳhayyul meñ tire nazdīk jab maiñ ḳhud ko paatā huuñ
mujhe us vaqt ik-tarfa ḳhushī mahsūs hotī hai
tū hī jaane kahāñ le aa.ī mujh ko aarzū terī
ye manzil ab sarāpā be-ḳhudī mahsūs hotī hai
'kañval' jis vaqt kho jaatā huuñ maiñ us ke tasavvur meñ
mujhe to zindagī hī zindagī mahsūs hotī hai
mujhe tere tasawwur se KHushi mahsus hoti hai
dil-e-murda mein bhi kuchh zindagi mahsus hoti hai
ye taron ki chamak mein hai na phulon hi ki KHushbu mein
teri taswir mein jo dilkashi mahsus hoti hai
tujhe main aaj tak masruf-e-dars-o-waz pata hun
teri hasti mukammal aagahi mahsus hoti hai
ye kya mumkin nahin tu aa ke KHud ab is ka darman kar
faza-e-dahr mein kuchh barhami mahsus hoti hai
ujala sa ujala hai teri sham-e-hidayat ka
shab-e-tira mein bhi ek raushni mahsus hoti hai
main aaun bhi to kya munh le ke aaun samne tere
KHud apne-ap se sharmindagi mahsus hoti hai
taKHayyul mein tere nazdik jab main KHud ko pata hun
mujhe us waqt ik-tarfa KHushi mahsus hoti hai
tu hi jaane kahan le aai mujh ko aarzu teri
ye manzil ab sarapa be-KHudi mahsus hoti hai
'kanwal' jis waqt kho jata hun main us ke tasawwur mein
mujhe to zindagi hi zindagi mahsus hoti hai
- Book : Barg-o-Bar (Pg. 171)
- Author : Kanval M.A
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.