billu-barbar
are hero!
adākārī na kar chal uTh
ki lākhoñ dil tirī āñkhoñ se dhaḌkan lene aa.e haiñ
chalo maanā tirī āñkheñ kuchh aisī thiiñ
ki is be-kār sayyāre pe un kā der tak rahnā
na bantā thā
magar pyāre!
tripan saal to kuchh bhī nahīñ hote
to kyoñ ḳhāmosh hai kuchh kah
ki terī be-karāñ āvāz meñ to lākhoñ sadiyoñ kī sadā.eñ thiiñ
tire chehre kā har gahrā ta.assur aisā charḳha thā
ki jis par apne jazbe kāḌhte the ham
so is charḳhe kī kuuk ab kis liye chup hai
kahānī kā hidāyat-kār bhī shāyad tirī āñkhoñ kī gahrā.ī se ḳhā.if thā
vo mil jaa.e to pūchheñge
ki is kirdār kā anjām kyoñ itnā achānak hai
chal āñkheñ khol tujh se milne jhoñpaḌ-paTTī vaale bachche aa.e haiñ
kisī ko bhī yaqīñ aatā nahīñ hai tere jaane kā
so uTh kar baiTh billu-bārbar aur dekh terā dost sāhir ḳhaan aayā hai
use lagtā hai us ke rote rote tū uThegā aur kahegā
yaar ġham mat kar
guloñ kī zindagānī maut se kab ḳhatm hotī hai
mohabbat kī kahānī maut se kab ḳhatm hotī hai
are hero!
adakari na kar chal uTh
ki lakhon dil teri aankhon se dhaDkan lene aae hain
chalo mana teri aankhen kuchh aisi thin
ki is be-kar sayyare pe un ka der tak rahna
na banta tha
magar pyare!
tripan sal to kuchh bhi nahin hote
to kyon KHamosh hai kuchh kah
ki teri be-karan aawaz mein to lakhon sadiyon ki sadaen thin
tere chehre ka har gahra tassur aisa charKHa tha
ki jis par apne jazbe kaDhte the hum
so is charKHe ki kuk ab kis liye chup hai
kahani ka hidayat-kar bhi shayad teri aankhon ki gahrai se KHaif tha
wo mil jae to puchhenge
ki is kirdar ka anjam kyon itna achanak hai
chal aankhen khol tujh se milne jhonpaD-paTTi wale bachche aae hain
kisi ko bhi yaqin aata nahin hai tere jaane ka
so uTh kar baiTh billu-barbar aur dekh tera dost sahir KHan aaya hai
use lagta hai us ke rote rote tu uThega aur kahega
yar gham mat kar
gulon ki zindagani maut se kab KHatm hoti hai
mohabbat ki kahani maut se kab KHatm hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.