chacha nehru ka KHat bachchon ke nam
mire aziiz vatan ke aziiz farzando
mire vatan kī na.ī sub.h ke naqīb ho tum
bichhaḌ ke tum se ka.ī saal ho chuke haiñ magar
gumān hotā hai ab tak mire qarīb ho tum
divāliyāñ hoñ ki ii.deñ ḳhushī manā lenā
kabhī ye dil meñ na laanā ki bad-gumāñ huuñ maiñ
tum is yaqīn ko dil se nikālnā na kabhī
ki duur rah ke bhī tum sab ke darmiyāñ huuñ maiñ
maiñ jāntā huuñ judā.ī kā dukh bahut hogā
tum apne dukh ko amal se miTā bhī sakte ho
agarche duur huuñ tum se bahut hī duur magar
mujhe talāsh karo tum to pā bhī sakte
tumheñ milūñgā maiñ gañgā kī shoḳh maujoñ meñ
vo shoḳh maujeñ jinhoñ ne mujhe qarār diyā
tumheñ milūñgā himāla kī sabz-vādī meñ
tamām umr mujhe jis ne maañ kā pyaar diyā
tumheñ milūñgā maiñ khetoñ kī garm miTTī meñ
kisān apnā pasīna jahāñ bahāte haiñ
tumheñ milūñgā mashīnoñ ke darmiyān jahāñ
hazāroñ haath na.ī qismateñ banāte haiñ
tumheñ milūñgā maiñ kāshī kī sarhadoñ meñ kabhī
kabhī milūñgā maiñ ajmer ke gulistāñ meñ
kabhī charāġh kī mānind shab ke siine par
kabhī gulāb kī sūrat vatan ke dāmāñ meñ
mere aziz watan ke aziz farzando
mere watan ki nai subh ke naqib ho tum
bichhaD ke tum se kai sal ho chuke hain magar
guman hota hai ab tak mere qarib ho tum
diwaliyan hon ki iden KHushi mana lena
kabhi ye dil mein na lana ki bad-guman hun main
tum is yaqin ko dil se nikalna na kabhi
ki dur rah ke bhi tum sab ke darmiyan hun main
main jaanta hun judai ka dukh bahut hoga
tum apne dukh ko amal se miTa bhi sakte ho
agarche dur hun tum se bahut hi dur magar
mujhe talash karo tum to pa bhi sakte
tumhein milunga main ganga ki shoKH maujon mein
wo shoKH maujen jinhon ne mujhe qarar diya
tumhein milunga himala ki sabz-wadi mein
tamam umr mujhe jis ne man ka pyar diya
tumhein milunga main kheton ki garm miTTi mein
kisan apna pasina jahan bahate hain
tumhein milunga mashinon ke darmiyan jahan
hazaron hath nai qismaten banate hain
tumhein milunga main kashi ki sarhadon mein kabhi
kabhi milunga main ajmer ke gulistan mein
kabhi charagh ki manind shab ke sine par
kabhi gulab ki surat watan ke daman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.