chacha nehru ka paigham
saarī duniyā meñ lā-javāb bano
intiḳhāboñ kā intiḳhāb bano
amn-o-insāniyat kī aab bano
ai gulistān-e-hind ke bachcho
muskurāte hue gulāb bano
tum ho hindostāñ ke mustaqbil
tum se raushan ho jāda-e-manzil
ārzūoñ ke māhtāb bano
ai gulistān-e-hind ke bachcho
muskurāte hue gulāb bano
kāmyābī kī shāh-rāhoñ meñ
mādar-e-hind kī nigāhoñ meñ
jagmagāte hasīn ḳhvāb bano
ai gulistān-e-hind ke bachcho
muskurāte hue gulāb bano
duur duniyā se tīrgī kar do
saare aalam meñ raushnī kar do
ilm-o-hikmat ke āftāb bano
ai gulistān-e-hind ke bachcho
muskurāte hue gulāb bano
tum se duniyā meñ shāñtī phaile
murda qaumoñ meñ zindagī phaile
apne maqsad meñ kāmyāb bano
ai gulistān-e-hind ke bachcho
muskurāte hue gulāb bano
sari duniya mein la-jawab bano
intiKHabon ka intiKHab bano
amn-o-insaniyat ki aab bano
ai gulistan-e-hind ke bachcho
muskuraate hue gulab bano
tum ho hindostan ke mustaqbil
tum se raushan ho jada-e-manzil
aarzuon ke mahtab bano
ai gulistan-e-hind ke bachcho
muskuraate hue gulab bano
kaamyabi ki shah-rahon mein
madar-e-hind ki nigahon mein
jagmagate hasin KHwab bano
ai gulistan-e-hind ke bachcho
muskuraate hue gulab bano
dur duniya se tirgi kar do
sare aalam mein raushni kar do
ilm-o-hikmat ke aaftab bano
ai gulistan-e-hind ke bachcho
muskuraate hue gulab bano
tum se duniya mein shanti phaile
murda qaumon mein zindagi phaile
apne maqsad mein kaamyab bano
ai gulistan-e-hind ke bachcho
muskuraate hue gulab bano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.