dilip-kumar
are hero!
adākārī na kar chal uTh
ki lākhoñ dil tirī āñkhoñ se dhaḌkan lene aa.e haiñ
chalo maanā tirī āñkheñ kuchh aisī thiiñ
ki is be-kār sayyāre pe un kā der tak rahnā
na bantā thā
magar pyāre!
tirī āñkhoñ kī ruḳhsat raushnī kī haar hī to hai
tū kyoñ ḳhāmosh hai kuchh kah
ki terī be-karāñ āvāz meñ to lākhoñ sadiyoñ kī sadā.eñ thiiñ
tire chehre kā har gahrā ta.assur aisā charḳha thā
ki jis par apne jazbe kāḌhte the ham
so is charḳhe kī kuuk ab kis liye chup hai
kahānī kā hidāyat-kār bhī shāyad tirī āñkhoñ kī gahrā.ī se ḳhā.if thā
vo mil jaa.e to boleñge
ki is kirdār kā jaanā na bantā thaa!
chal āñkheñ khol tujh se milne lākhoñ log aa.e haiñ
kisī ko bhī yaqīñ aatā nahīñ hai tere jaane kā
unheñ lagtā hai un ke rote rote tū uThegā aur kahegā:
ġham nahīñ karnā
guloñ kī zindagānī maut se kab ḳhatm hotī hai
mohabbat kī kahānī maut se kab ḳhatm hotī hai
are hero!
adakari na kar chal uTh
ki lakhon dil teri aankhon se dhaDkan lene aae hain
chalo mana teri aankhen kuchh aisi thin
ki is be-kar sayyare pe un ka der tak rahna
na banta tha
magar pyare!
teri aankhon ki ruKHsat raushni ki haar hi to hai
tu kyon KHamosh hai kuchh kah
ki teri be-karan aawaz mein to lakhon sadiyon ki sadaen thin
tere chehre ka har gahra tassur aisa charKHa tha
ki jis par apne jazbe kaDhte the hum
so is charKHe ki kuk ab kis liye chup hai
kahani ka hidayat-kar bhi shayad teri aankhon ki gahrai se KHaif tha
wo mil jae to bolenge
ki is kirdar ka jaana na banta tha!
chal aankhen khol tujh se milne lakhon log aae hain
kisi ko bhi yaqin aata nahin hai tere jaane ka
unhen lagta hai un ke rote rote tu uThega aur kahega:
gham nahin karna
gulon ki zindagani maut se kab KHatm hoti hai
mohabbat ki kahani maut se kab KHatm hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.