ghaalib
Interesting Fact
A poem on one of Urdu's greatest poets, Mirza Ghalib.
ballī-mārāñ ke mohalle kī vo pechīda dalīloñ kī sī galiyāñ
sāmne Taal kī nukkaḌ pe baTeroñ ke qasīde
guḌguḌātī huī paan kī pīkoñ meñ vo daad vo vaah vā
chand darvāzoñ pe laTke hue bosīda se kuchh TaaT ke parde
ek bakrī ke mimyāne kī āvāz
aur dhundlā.ī huī shaam ke be-nūr añdhere saa.e
aise dīvāroñ se muñh joḌ ke chalte haiñ yahāñ
chūḌī-vālān kai kaTre kī baḌī-bī jaise
apnī bujhtī huī āñkhoñ se darvāze TaTole
isī be-nūr añdherī sī galī-qāsim se
ek tartīb charāġhoñ kī shurūa hotī hai
ek qur.ān-e-suḳhan kā saf.ha khultā hai
asadullāh-ḳhāñ-'ġhālib' kā patā miltā hai
balli-maran ke mohalle ki wo pechida dalilon ki si galiyan
samne Tal ki nukkaD pe baTeron ke qaside
guDguDati hui pan ki pikon mein wo dad wo wah wa
chand darwazon pe laTke hue bosida se kuchh TaT ke parde
ek bakri ke mimyane ki aawaz
aur dhundlai hui sham ke be-nur andhere sae
aise diwaron se munh joD ke chalte hain yahan
chuDi-walan kai kaTre ki baDi-bi jaise
apni bujhti hui aankhon se darwaze TaTole
isi be-nur andheri si gali-qasim se
ek tartib charaghon ki shurua hoti hai
ek quran-e-suKHan ka safha khulta hai
asadullah-KHan-'ghaalib' ka pata milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.