ghaalib ka postmortem
ek din 'ġhālib' ke paḌh kar sher merī ahliya
mujh se bolī aap to kahte the in ko auliyā
āshiq-e-bint-e-enab ko aap kahte haiñ valī
fāqa-mastī meñ bhī har dam kar rahā hai mai-kashī
pūjne se mah-jabīnoñ ke ye baaz aatā nahīñ
aur phir kāfir kahe jaane se sharmātā nahīñ
koī bhī mahvash akele meñ agar aa jaa.e haath
chheḌḳhvānī kar diyā kartā thā aksar us ke saath
bad-gumānī kā agar mahbūb kī hotā na Dar
us ke pairoñ kā vo bosa letā rahtā raat bhar
koī rakhtā thā agar us se zarā sharm-o-hijāb
ro.ab dikhlāne ko us se kah diyā karte janāb
''ham se khul jaao ba-vaqt-e-mah-parastī ek din
varna ham chheḌeñge rakh kar uzr-e-mastī ek din
gar kisī mehmān ke aane kī hotī thī ḳhabar
boriyā tak bhī nahīñ hotā thā us nañge ke ghar
is liye chhā.ī huī thī us ke ghar meñ muflisī
kal ke Dar se aaj piine meñ na kartā thā kamī
mai-kashī ko gar koī saaqī nahīñ detā thā jaam
ok se pī kar hī vo apnā chalā letā thā kaam
marte marte bhī sharāb us kī na ho paa.ī thī kam
jaam ko taktā rahā jab tak rahā āñkhoñ meñ dam
us ke is kirdār par mujh se na karnā guftugū
ḳhaak meñ jis ne milā dī ḳhāndānī aabrū
is qadar pahuñche hue shā.er kā ye kirdār hai
sher kahnā chhoḌ diije shā.erī be-kār hai
is se pahle ki mirā barbād ho jaa.e ye ghar
aap bas ghar meñ raheñ sher-o-adab ko chhoḌ kar
mai-kashī aur aap hoñ matlūb-o-tālib kī tarah
sochtī huuñ aap ho jaa.eñ na 'ġhālib' kī tarah
ek din 'ghaalib' ke paDh kar sher meri ahliya
mujh se boli aap to kahte the in ko auliya
aashiq-e-bint-e-enab ko aap kahte hain wali
faqa-masti mein bhi har dam kar raha hai mai-kashi
pujne se mah-jabinon ke ye baz aata nahin
aur phir kafir kahe jaane se sharmata nahin
koi bhi mahwash akele mein agar aa jae hath
chheDKHwani kar diya karta tha aksar us ke sath
bad-gumani ka agar mahbub ki hota na Dar
us ke pairon ka wo bosa leta rahta raat bhar
koi rakhta tha agar us se zara sharm-o-hijab
roab dikhlane ko us se kah diya karte janab
ham se khul jao ba-waqt-e-mah-parasti ek din
warna hum chheDenge rakh kar uzr-e-masti ek din
gar kisi mehman ke aane ki hoti thi KHabar
boriya tak bhi nahin hota tha us nange ke ghar
is liye chhai hui thi us ke ghar mein muflisi
kal ke Dar se aaj pine mein na karta tha kami
mai-kashi ko gar koi saqi nahin deta tha jam
ok se pi kar hi wo apna chala leta tha kaam
marte marte bhi sharab us ki na ho pai thi kam
jam ko takta raha jab tak raha aankhon mein dam
us ke is kirdar par mujh se na karna guftugu
KHak mein jis ne mila di KHandani aabru
is qadar pahunche hue shaer ka ye kirdar hai
sher kahna chhoD dije shaeri be-kar hai
is se pahle ki mera barbaad ho jae ye ghar
aap bas ghar mein rahen sher-o-adab ko chhoD kar
mai-kashi aur aap hon matlub-o-talib ki tarah
sochti hun aap ho jaen na 'ghaalib' ki tarah
- Book : Post Martum (Pg. 92)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.