gandhi ho ya ghaalib ho
Interesting Fact
(This poem alludes towards that year's worst sectarian riots) (Written at the end of Gandhi shataabdi and Ghalib Sadi)
'gāñdhī' ho yā 'ġhālib' ho
ḳhatm huā donoñ kā jashn
aao unheñ ab kar deñ dafn
ḳhatm karo tahzīb kī baat
band karo culture kā shor
satya ahinsā sab bakvās
ham bhī qātil tum bhī chor
ḳhatm huā donoñ kā jashn
aao unheñ ab kar deñ dafn
vo bastī vo gaañv hī kyā
jis meñ harījan ho āzād
vo qasba vo shahr hī kyā
jo na bane ahamadabād
ḳhatm huā donoñ kā jashn
aao unheñ ab kar deñ dafn
'gāñdhī' ho yā 'ġhālib' ho
donoñ kā kyā kaam yahāñ
ab ke baras bhī qatl huī
ek kī shikasta ik kī zabāñ
ḳhatm huā donoñ kā jashn
aao unheñ ab kar deñ dafn
'gandhi' ho ya 'ghaalib' ho
KHatm hua donon ka jashn
aao unhen ab kar den dafn
KHatm karo tahzib ki baat
band karo culture ka shor
satya ahinsa sab bakwas
hum bhi qatil tum bhi chor
KHatm hua donon ka jashn
aao unhen ab kar den dafn
wo basti wo ganw hi kya
jis mein harijan ho aazad
wo qasba wo shahr hi kya
jo na bane ahamadabaad
KHatm hua donon ka jashn
aao unhen ab kar den dafn
'gandhi' ho ya 'ghaalib' ho
donon ka kya kaam yahan
ab ke baras bhi qatl hui
ek ki shikasta ek ki zaban
KHatm hua donon ka jashn
aao unhen ab kar den dafn
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 221)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.