gandhi-jayanti par
uThī chāroñ taraf se jab ki zulm-o-jabr kī āñdhī
payām-e-amn le kar aa ga.e rūh-e-zamāñ gāñdhī
bane hindostāñ ke vāste vo rahbar-e-kāmil
tavassul se unhī ke paa.ī ham ne apnī ḳhud manzil
huī raushan ujāle se dayār-e-hind kī vaadī
jalā.ī is tarah kī aap ne ik sham-e-āzādī
unhī ne jabr se añgrez ke ham ko chhuḌāyā thā
sadāqat kā sharāfat kā hameñ rasta batāyā thā
dikhā.ī raah vo ham ko jo gautam ne dikhā.ī thī
batā.ī baat vo phir se jo iisā ne batā.ī thī
uḳhuvvat ke vo dariyā the mohabbat ke vo sāhil the
ahinsā ke vo daa.ī the vo yak-jehtī ke qaa.il the
sabaq phir se paḌhāyā thā jahāñ-bhar ko bhalā.ī kā
zamāna aaj bhī mashkūr hai us haq ke daa.ī kā
ġharīboñ kī nahīfoñ kī hamesha dast-gīrī kī
na parvā kī musībat kī na parvā kī asīrī kī
hamāre dil munavvar kar diye nūr-e-mohabbat se
hue āgāh ahl-e-dahr ramz-e-ādamiyat se
vatan ke āsmāñ par ek raḳhshanda sitāre the
hameñ ye faḳhr hai ahl-e-jahāñ gāñdhī hamāre the
uThi chaaron taraf se jab ki zulm-o-jabr ki aandhi
payam-e-amn le kar aa gae ruh-e-zaman gandhi
bane hindostan ke waste wo rahbar-e-kaamil
tawassul se unhi ke pai hum ne apni KHud manzil
hui raushan ujale se dayar-e-hind ki wadi
jalai is tarah ki aap ne ek sham-e-azadi
unhi ne jabr se angrez ke hum ko chhuDaya tha
sadaqat ka sharafat ka hamein rasta bataya tha
dikhai rah wo hum ko jo gautam ne dikhai thi
batai baat wo phir se jo isa ne batai thi
uKHuwwat ke wo dariya the mohabbat ke wo sahil the
ahinsa ke wo dai the wo yak-jehti ke qail the
sabaq phir se paDhaya tha jahan-bhar ko bhalai ka
zamana aaj bhi mashkur hai us haq ke dai ka
gharibon ki nahifon ki hamesha dast-giri ki
na parwa ki musibat ki na parwa ki asiri ki
hamare dil munawwar kar diye nur-e-mohabbat se
hue aagah ahl-e-dahr ramz-e-adamiyat se
watan ke aasman par ek raKHshanda sitare the
hamein ye faKHr hai ahl-e-jahan gandhi hamare the
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 187)
- Author : Prof. Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.