gandhi-ji ki yaad mein!
vahī hai shor-e-hā.e-o-hū, vahī hujūm-e-mard-o-zan
magar vo husn-e-zindagī, magar vo jannat-e-vatan
vahī zamīñ, vahīñ zamāñ, vahī makīñ, vahī makāñ
magar surūr-e-yak-dilī, magar nashāt-e-anjuman
vahī hai shauq-e-nau-ba-nau, vahī jamāl-e-rañg-rañg
magar vo ismat-e-nazar, tahārat-e-lab-o-dahan
taraqqiyoñ pe garche haiñ, tamaddun-o-muāshrat
magar vo husn-e-sādgī, vo sādgī kā bāñkpan
sharāb-e-nau kī mastiyāñ, ki al-hafīz-o-al-amāñ
magar vo ik latīf sā surūr-e-bāda-e-kuhan
ye naġhma-e-hayāt hai ki hai ajal tarāna-sanj
ye daur-e-kā.enāt hai ki raqs meñ hai ahrman
hazār-dar-hazār haiñ agarche rahbarān-e-mulk
magar vo pīr-e-naujavāñ, vo ek mard-e-saf-shikan
vahī mahātmā vahī shahīd-e-amn-o-āshtī
prem jis kī zindagī, ḳhulūs jis kā pairahan
vahī sitāre haiñ, magar kahāñ vo māhtāb-e-hind
vahī hai anjuman, magar kahāñ vo sadr-e-anjuman
wahi hai shor-e-hae-o-hu, wahi hujum-e-mard-o-zan
magar wo husn-e-zindagi, magar wo jannat-e-watan
wahi zamin, wahin zaman, wahi makin, wahi makan
magar surur-e-yak-dili, magar nashat-e-anjuman
wahi hai shauq-e-nau-ba-nau, wahi jamal-e-rang-rang
magar wo ismat-e-nazar, tahaarat-e-lab-o-dahan
taraqqiyon pe garche hain, tamaddun-o-muashrat
magar wo husn-e-sadgi, wo sadgi ka bankpan
sharab-e-nau ki mastiyan, ki al-hafiz-o-al-aman
magar wo ek latif sa surur-e-baada-e-kuhan
ye naghma-e-hayat hai ki hai ajal tarana-sanj
ye daur-e-kaenat hai ki raqs mein hai ahrman
hazar-dar-hazar hain agarche rahbaran-e-mulk
magar wo pir-e-naujawan, wo ek mard-e-saf-shikan
wahi mahatma wahi shahid-e-amn-o-ashti
prem jis ki zindagi, KHulus jis ka pairahan
wahi sitare hain, magar kahan wo mahtab-e-hind
wahi hai anjuman, magar kahan wo sadr-e-anjuman
- Book : Kulliyat-e-jigar (Pg. 173)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.