iltija-e-musafir
Interesting Fact
ba-dargaah-e-hazarat mahbuub-e-ilaahii dehlii
farishte paḌhte haiñ jis ko vo naam hai terā
baḌī janāb tirī faiz aam hai terā
sitāre ishq ke terī kashish se haiñ qaa.em
nizām-e-mehr kī sūrat nizām hai terā
tirī lahad kī ziyārat hai zindagī dil kī
masīh o ḳhizr se ūñchā maqām hai terā
nihāñ hai terī mohabbat meñ rañg-e-mahbūbī
baḌī hai shaan baḌā ehtirām hai terā
agar siyāh dilam dāġh-e-lāla-zār-e-tavām
digar kushāda jabīnam gul-e-bahār-e-tavām
chaman ko chhoḌ ke niklā huuñ misl-e-nik.hat-e-gul
huā hai sabr kā manzūr imtihāñ mujh ko
chalī hai le ke vatan ke nigār-ḳhāne se
sharāb-e-ilm kī lazzat kashāñ kashāñ mujh ko
nazar hai abr-e-karam par daraḳht-e-sahrā huuñ
kiyā ḳhudā ne na mohtāj-e-bāġhbāñ mujh ko
falak-nashīñ sifat-e-mehr huuñ zamāne meñ
tirī duā se atā ho vo nardbāñ mujh ko
maqām ham-safaroñ se ho is qadar aage
ki samjhe manzil-e-maqsūd kārvāñ mujh ko
mirī zabān-e-qalam se kisī kā dil na dukhe
kisī se shikva na ho zer-e-āsmāñ mujh ko
diloñ ko chaak kare misl-e-shāna jis kā asar
tirī janāb se aisī mile fuġhāñ mujh ko
banāyā thā jise chun chun ke ḳhaar o ḳhas maiñ ne
chaman meñ phir nazar aa.e vo āshiyāñ mujh ko
phir aa rakhūñ qadam-e-mādar-o-pidar pe jabīñ
kiyā jinhoñ ne mohabbat kā rāz-dāñ mujh ko
vo sham-e-bārgah-e-ḳhāndān-e-murtazvī
rahegā misl-e-haram jis kā āstāñ mujh ko
nafas se jis ke khilī merī aarzū kī kalī
banāyā jis kī muravvat ne nukta-dāñ mujh ko
duā ye kar ki ḳhudāvand-e-āsmān-o-zamīñ
kare phir us kī ziyārat se shādmāñ mujh ko
vo merā yūsuf-e-sānī vo sham-e-mahfil-e-ishq
huī hai jis kī uḳhuvvat qarār-e-jāñ mujh ko
jalā ke jis kī mohabbat ne daftar-e-man-o-tū
havā-e-aish meñ paalā kiyā javāñ mujh ko
riyāz-e-dahr meñ mānind-e-gul rahe ḳhandāñ
ki hai azīz-tar az-jāñ vo jān-e-jāñ mujh ko
shagufta ho ke kalī dil kī phuul ho jaa.e
ye iltijā-e-musāfir qubūl ho jaa.e
farishte paDhte hain jis ko wo nam hai tera
baDi janab teri faiz aam hai tera
sitare ishq ke teri kashish se hain qaem
nizam-e-mehr ki surat nizam hai tera
teri lahad ki ziyarat hai zindagi dil ki
masih o KHizr se uncha maqam hai tera
nihan hai teri mohabbat mein rang-e-mahbubi
baDi hai shan baDa ehtiram hai tera
agar siyah dilam dagh-e-lala-zar-e-tawam
digar kushada jabinam gul-e-bahaar-e-tawam
chaman ko chhoD ke nikla hun misl-e-nikhat-e-gul
hua hai sabr ka manzur imtihan mujh ko
chali hai le ke watan ke nigar-KHane se
sharab-e-ilm ki lazzat kashan kashan mujh ko
nazar hai abr-e-karam par daraKHt-e-sahra hun
kiya KHuda ne na mohtaj-e-baghban mujh ko
falak-nashin sifat-e-mehr hun zamane mein
teri dua se ata ho wo nardban mujh ko
maqam ham-safaron se ho is qadar aage
ki samjhe manzil-e-maqsud karwan mujh ko
meri zaban-e-qalam se kisi ka dil na dukhe
kisi se shikwa na ho zer-e-asman mujh ko
dilon ko chaak kare misl-e-shana jis ka asar
teri janab se aisi mile fughan mujh ko
banaya tha jise chun chun ke KHar o KHas main ne
chaman mein phir nazar aae wo aashiyan mujh ko
phir aa rakhun qadam-e-madar-o-pidar pe jabin
kiya jinhon ne mohabbat ka raaz-dan mujh ko
wo sham-e-bargah-e-KHandan-e-murtazwi
rahega misl-e-haram jis ka aastan mujh ko
nafas se jis ke khili meri aarzu ki kali
banaya jis ki murawwat ne nukta-dan mujh ko
dua ye kar ki KHudawand-e-asman-o-zamin
kare phir us ki ziyarat se shadman mujh ko
wo mera yusuf-e-sani wo sham-e-mahfil-e-ishq
hui hai jis ki uKHuwwat qarar-e-jaan mujh ko
jala ke jis ki mohabbat ne daftar-e-man-o-tu
hawa-e-aish mein pala kiya jawan mujh ko
riyaz-e-dahr mein manind-e-gul rahe KHandan
ki hai aziz-tar az-jaan wo jaan-e-jaan mujh ko
shagufta ho ke kali dil ki phul ho jae
ye iltija-e-musafir qubul ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.