iqbaal
aayā hamāre des meñ ik ḳhush-navā faqīr
aayā aur apnī dhun meñ ġhazal-ḳhvāñ guzar gayā
sunsān rāheñ ḳhalq se ābād ho ga.iiñ
vīrān mai-kadoñ kā nasība sañvar gayā
thiiñ chand hī nigāheñ jo us tak pahuñch sakīñ
par us kā giit sab ke diloñ meñ utar gayā
ab duur jā chukā hai vo shāh-e-gadā-numā
aur phir se apne des kī rāheñ udaas haiñ
chand ik ko yaad hai koī us kī adā-e-ḳhās
do ik nigāheñ chand azīzoñ ke paas haiñ
par us kā giit sab ke diloñ meñ muqīm hai
aur us ke lai se saikaḌoñ lazzat-shanās haiñ
is giit ke tamām mahāsin haiñ lā-zavāl
is kā vafūr is kā ḳharosh is kā soz-o-sāz
ye giit misal-e-shola-e-javvāla tund-o-tez
is kī lapak se bād-e-fanā kā jigar gudāz
jaise charāġh vahshat-e-sar-sar se be-ḳhatar
yā sham-e-bazm sub.h kī aamad se be-ḳhabar
aaya hamare des mein ek KHush-nawa faqir
aaya aur apni dhun mein ghazal-KHwan guzar gaya
sunsan rahen KHalq se aabaad ho gain
viran mai-kadon ka nasiba sanwar gaya
thin chand hi nigahen jo us tak pahunch sakin
par us ka git sab ke dilon mein utar gaya
ab dur ja chuka hai wo shah-e-gada-numa
aur phir se apne des ki rahen udas hain
chand ek ko yaad hai koi us ki ada-e-KHas
do ek nigahen chand azizon ke pas hain
par us ka git sab ke dilon mein muqim hai
aur us ke lai se saikaDon lazzat-shanas hain
is git ke tamam mahasin hain la-zawal
is ka wafur is ka KHarosh is ka soz-o-saz
ye git misal-e-shola-e-jawwala tund-o-tez
is ki lapak se baad-e-fana ka jigar gudaz
jaise charagh wahshat-e-sar-sar se be-KHatar
ya sham-e-bazm subh ki aamad se be-KHabar
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 85)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.