iqbaal ke mazar par
lahad meñ so rahī hai aaj be-shak musht-e-ḳhāk us kī
magar garm-e-amal hai jāgtī hai jān-e-pāk us kī
vo ik faanī bashar thā maiñ ye bāvar kar nahīñ saktā
bashar iqbāl ho jaa.e to hargiz mar nahīñ saktā
ba-zer-e-sāya-e-dīvār-e-masjid hai jo āsūda
ye ḳhākī jism hai sattar baras kā raah paimūda
ye ḳhākī jism bhī us kā bahut hī besh-qīmat thā
jise ham-jalva samjhe the vo parda bhī ġhanīmat thā
use ham nāpte the le ke āñkhoñ hī kā paimānā
ġhazal-ḳhvāñ us ko jaanā ham ne shā.ir us ko gardānā
faqat sūrat hī dekhī us ke ma.anī ham nahīñ samjhe
na dekhā rañg-e-tasvīr aa.ine ko dil-nashīñ samjhe
hameñ zof-e-basārat se kahāñ thī tāb-e-nazzārā
sikhā.e us ke parde ne hameñ ādāb-e-nazzārā
ye naġhma kyā hai zer-e-parda-hā-e-sāz kam samjhe
rahe sab gosh-bar-āvāz lekin raaz kam samjhe
shikast-e-paikar-e-mahsūs ne toḌā hijāb āḳhir
tulū-e-sub.h-e-mahshar ban ke chamkā āftāb āḳhir
muqayyad ab nahīñ 'iqbāl' apne jism-e-fānī meñ
nahīñ vo band haa.il aaj dariyā kī ravānī meñ
vajūd-e-marg kī qaa.el nahīñ thī zindagī us kī
ta.ālā allāh ab dekhe koī pā.indagī us kī
jise ham murda samjhe zinda tar pā.inda tar niklā
mah o ḳhurshīd se zarre kā dil tābinda tar niklā
abhī andāza ho saktā nahīñ us kī bulandī kā
abhī duniyā kī āñkhoñ par hai parda firqa-bandī kā
magar merī nigāhoñ meñ haiñ chehre un javānoñ ke
jinheñ 'iqbāl' ne baḳhshe haiñ baazū qahar-mānoñ ke
lahad mein so rahi hai aaj be-shak musht-e-KHak us ki
magar garm-e-amal hai jagti hai jaan-e-pak us ki
wo ek fani bashar tha main ye bawar kar nahin sakta
bashar iqbaal ho jae to hargiz mar nahin sakta
ba-zer-e-saya-e-diwar-e-masjid hai jo aasuda
ye KHaki jism hai sattar baras ka rah paimuda
ye KHaki jism bhi us ka bahut hi besh-qimat tha
jise ham-jalwa samjhe the wo parda bhi ghanimat tha
use hum napte the le ke aankhon hi ka paimana
ghazal-KHwan us ko jaana hum ne shair us ko gardana
faqat surat hi dekhi us ke mani hum nahin samjhe
na dekha rang-e-taswir aaine ko dil-nashin samjhe
hamein zof-e-basarat se kahan thi tab-e-nazzara
sikhae us ke parde ne hamein aadab-e-nazzara
ye naghma kya hai zer-e-parda-ha-e-saz kam samjhe
rahe sab gosh-bar-awaz lekin raaz kam samjhe
shikast-e-paikar-e-mahsus ne toDa hijab aaKHir
tulu-e-subh-e-mahshar ban ke chamka aaftab aaKHir
muqayyad ab nahin 'iqbaal' apne jism-e-fani mein
nahin wo band hail aaj dariya ki rawani mein
wajud-e-marg ki qael nahin thi zindagi us ki
taala allah ab dekhe koi paindagi us ki
jise hum murda samjhe zinda tar painda tar nikla
mah o KHurshid se zarre ka dil tabinda tar nikla
abhi andaza ho sakta nahin us ki bulandi ka
abhi duniya ki aankhon par hai parda firqa-bandi ka
magar meri nigahon mein hain chehre un jawanon ke
jinhen 'iqbaal' ne baKHshe hain bazu qahar-manon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.