jashn-e-ghaalib
Interesting Fact
Sahir Ludhianvi composed this poem on Ghalib’s centenary celebrations. Sahir laments the way Urdu was treated by Indian nation-state as it became alien overnight.
ikkīs baras guzre āzādi-e-kāmil ko
tab jā ke kahīñ ham ko 'ġhālib' kā ḳhayāl aayā
turbat hai kahāñ us kī maskan thā kahāñ us kā
ab apne suḳhan-parvar zehnoñ meñ savāl aayā
sau saal se jo turbat chādar ko tarastī thī
ab us pe aqīdat ke phūloñ kī numā.ish hai
urdu ke ta.alluq se kuchh bhed nahīñ khultā
ye jashn ye hañgāma ḳhidmat hai ki sāzish hai
jin shahroñ meñ gūñjī thī ġhālib kī navā barsoñ
un shahroñ meñ ab urdu benām-o-nishāñ Thahrī
āzādi-e-kāmil kā elaan huā jis din
ma.atūb zabāñ Thahrī ġhaddār zabāñ Thahrī
jis ahd-e-siyāsat ne ye zinda zabāñ kuchlī
us ahd-e-siyāsat ko marhūm kā ġham kyuuñ hai
'ġhālib' jise kahte haiñ urdu hī kā shā.ir thā
urdu pe sitam Dhā kar 'ġhālib' pe karam kyuuñ hai
ye jashn ye hañgāme dilchasp khilaune haiñ
kuchh logoñ kī koshish hai kuchh log bahal jaa.eñ
jo vāda-e-fardā par ab Tal nahīñ sakte haiñ
mumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe Tal jaa.eñ
ye jashn mubārak ho par ye bhī sadāqat hai
ham log haqīqat ke ehsās se aarī haiñ
'gāñdhī' ho ki 'ġhālib' ho insāf kī nazroñ meñ
ham donoñ ke qātil haiñ donoñ ke pujārī haiñ
ikkis baras guzre aazadi-e-kaamil ko
tab ja ke kahin hum ko 'ghaalib' ka KHayal aaya
turbat hai kahan us ki maskan tha kahan us ka
ab apne suKHan-parwar zehnon mein sawal aaya
sau sal se jo turbat chadar ko tarasti thi
ab us pe aqidat ke phulon ki numaish hai
urdu ke talluq se kuchh bhed nahin khulta
ye jashn ye hangama KHidmat hai ki sazish hai
jin shahron mein gunji thi ghaalib ki nawa barson
un shahron mein ab urdu benam-o-nishan Thahri
aazadi-e-kaamil ka elan hua jis din
matub zaban Thahri ghaddar zaban Thahri
jis ahd-e-siyasat ne ye zinda zaban kuchli
us ahd-e-siyasat ko marhum ka gham kyun hai
'ghaalib' jise kahte hain urdu hi ka shair tha
urdu pe sitam Dha kar 'ghaalib' pe karam kyun hai
ye jashn ye hangame dilchasp khilaune hain
kuchh logon ki koshish hai kuchh log bahal jaen
jo wada-e-farda par ab Tal nahin sakte hain
mumkin hai ki kuchh arsa is jashn pe Tal jaen
ye jashn mubarak ho par ye bhi sadaqat hai
hum log haqiqat ke ehsas se aari hain
'gandhi' ho ki 'ghaalib' ho insaf ki nazron mein
hum donon ke qatil hain donon ke pujari hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.